11
Muslim Ibne Aqeel (as) Ghareeb e Kufa Safeer-e-Imam Hussain (a).. Hazaro Kufiyo me tanha. www.husainiyouths.org

Presentation on Muslim Ibn Aqeel - Roman Urdu

Embed Size (px)

DESCRIPTION

A power point presentation on the brief history about Muslim Ibn Aqeel (a), his journey to Kufa as messenger of Imam Hussain (a) and his martyrdom, followed by comparison with today's situation and our duties & responsibilities towards our religion. Kindly go through the PPT, share it among your friends & relatives and give your feedback. Was salam

Citation preview

Page 1: Presentation on Muslim Ibn Aqeel - Roman Urdu

Muslim Ibne Aqeel (as) – Ghareeb e Kufa

Safeer-e-Imam Hussain (a)..Hazaro Kufiyo me tanha.

www.husainiyouths.org

Page 2: Presentation on Muslim Ibn Aqeel - Roman Urdu

Karbala ke pehle ke halaat• Muawiya (la) ki maut ke baad Yazid (la) takhtnashin hua• Khalifa bante hi Yazid ne apne galat aqaed ki tableegh Islam ke

naam se shuru kar di• In sab me sare fehrist Islam me “Secularism” ki buniyad dalna

tha• Iska matlab ye tha ke jiska jo ji chahe wo kare aur use koi na

roke• Matlab, Amr bil Maruf aur Nahi az Munkar ki Yazidi Islam me

koi jagah nahi thi• Iske sath hi Yazid (la) aise logo ko apne tahat karna chahta tha

jo is Yazidi Islam ki mukhalifat kar sakte the• Isiliye Yazid (la) ne Imam Hussain (a) se baiyat talab ki lekin

Imam ne inkar kar diya• Imam (a) ne Yazid (la) ka muqabla karne ke liye 27 safar, 60 AH

me Mecca ki taraf apna safar shuru kar diyawww.husainiyouths.org

Page 3: Presentation on Muslim Ibn Aqeel - Roman Urdu

Imam Hussain (a) Mecca me• Imam ne mukhtalif shahro me apne safir bheje,

jaise Kufa aur Basara• Imam ka paigham tha ke Yazid (la) ka dar apne

dilo se nikal kar uske khilaf Allah ke raste me Jihad karo

• Iske natije me Imam (a) ko Kufiyo ne bahot saare khutut likhe

• Halat ka jaeza lene ke liye aur Kufiyo ke haqiqi halat ko jachne ke liye Imam Hussain (a) ne apne chachazad bhai “Muslim Ibn Aqeel” ko Kufa ki taraf rawana kiya

www.husainiyouths.org

Page 4: Presentation on Muslim Ibn Aqeel - Roman Urdu

Kufa; Jo kabhi Imam Ali (a) ka darul khilafa tha

• Kufa ke Musalmano ki sarparasti us waqt ke kabilo ke sardaro ke hatho me thi (Trustees)

• In sardaro ko Islam se koi lenden nahi tha balke inhe sirf apne rutbe aur aaram ki fikr thi

• Imam Hussain (a) ka paigham inhe inke rutbe aur aaram se bahot dur le ja raha tha

www.husainiyouths.org

Page 5: Presentation on Muslim Ibn Aqeel - Roman Urdu

Muslim Ibn Aqeel ki Kufa me aamad

• Awaam ne Muslim ka Kufa me purzor isteqbal kiya

• Sab ne Muslim ke hatho par baiyat karte hue kaha ke wo Imam Hussain (a) ka har haal me sath dege

• Lekin Kufi Muslim ka sath zyada der nahi nibha sake

www.husainiyouths.org

Page 6: Presentation on Muslim Ibn Aqeel - Roman Urdu

Ibne Ziyad ki Kufa me aamad

• Kuch hi dino me Yazid (la) ne Obaidullah Ibn Ziyad (la) ko Basra se Kufa jane ke liye hukm bheja

• Ibn Ziyad Kufa aate hi Kufi sardaro ne Muslim se baiyat tod di aur apne gharo me ja baithe

• In sardaro ne apne qabile ki awam ko bhi gharo me rehne ke liye uksaya

• Muslim Kufa me apne hamiyo ke gharo me chipte phir rahe the aur unke hamiyo ko bhi nishane par liya ja raha tha

www.husainiyouths.org

Page 7: Presentation on Muslim Ibn Aqeel - Roman Urdu

Muslim Ibn Aqeel (a) ki Shahadat

• Muslim Kufa shahar me akele reh gae

• Muslim ke hamiyo ko qurban kar diya gaya jaise Janabe Hani Ibne Urwa (a)

• Aur aakhir me Muslim (a) ko giraftar kar ke Eid-e-Qurbaan ke ek din pehle Shahid kar diya gaya

www.husainiyouths.org

Page 8: Presentation on Muslim Ibn Aqeel - Roman Urdu

Muslim Ibn Aqeel aur Kufiyo ke waqae ka jaiza

• Kufiyo ke dhoka dene ke wujuhaat:

– Apne Ahlo Ayal aur Maal ki Muhabbat– Ibne Ziyad ka dar– Maal aur aal ke muqable me Muhabbat e Imam

me kami

www.husainiyouths.org

Page 9: Presentation on Muslim Ibn Aqeel - Roman Urdu

Aaj ke halaat

• Aaj aalami istekbaar ne humare khilaf jung ka aelan kar diya hai

• Wo hume dara rahe hai aur chahte hai ke hum apni khud ki zindagi me mashghul rahe

• Humare khilaf har tarah ke ilzaamat laga rahe hai (Spreading Islamophobia)

www.husainiyouths.org

Page 10: Presentation on Muslim Ibn Aqeel - Roman Urdu

• Aaj ke halaat aslan Kufa ke halaat jaise hai jaha hume ya humare rehbaro ka sath dena hai ya aaj ki Yazidiyat se dar kar apni zindagi me mashgul rehna hai

www.husainiyouths.org

Aaj ke halaat

• Muslim ummat ko apne rehbaro ke khilaf bhadka rahe hai, masalan hume humare Mujtahedin ke khilaf uksa rahe hai

Page 11: Presentation on Muslim Ibn Aqeel - Roman Urdu

HAL MIN NASERIN YANSURNA

AWAZE ISTEGHASA GUNJI HAI PHIR FEZA ME

MAULA BULA RAHE HAI, MAIDANE KARBALA ME

www.husainiyouths.org