Urdu Shayari Download

Embed Size (px)

Citation preview

Urdu Shayari - Urdu Sher-Urdu Funny Sher-o-Shayari - Hindi Shayari Ye hai Urdu Shayari - Urdu Sher - Hindi Shayari - Hindi Sher - Funny Urdu shayari - Funny Urdu sher- Latest Urdu shayari - Love Urdu shayari - You can read all these here in Urdu shayari ki duniya. Sunday, August 2, 2009 Urdu Ghazal,Urdu Shayari Urdu Ghazal, Urdu Shayari Badi Taqleef se Qaati jo Manzil Hum ne Qaati hai Wafa ke Raaste pe Sakht Moshkil moor aye hain Humari Zindgani hi Wafa ki Dastan ho gi Janha guzrey Wanha Hum Kehkshaan Choor aye hain By:Mubaraka khanum App apni tehrerain comments section main be likh sakteain hain....is blog ko subscribe kijiye aur mazaa ligiye nayi sher aur shayaris ka.... Posted by Free VOiP Calls at 6:03 AM 0 comments Labels: Urdu Ghazal, Urdu Shayari Friday, July 31, 2009 Urdu Ghazal, Urdu Shayari By Sarah Ahmad Urdu Ghazal, Urdu Shayari By Sarah Ahmad Yeh raasta agar lamba hai tou kia hai Yeh waqt agar guzar jaaye tou kia hai Iss sooraj ko tou dhalna hai kabhie Yeh aaj hi dhal jaaye tou kia hai Iss tadapti dhoop ki pukar suni Yeh tez leher mein gharoob ho jaaye tou kia hai Yeh raasta baraf ki tarah hai thanda Iss par paer phisil jaaye tou kia hai Ehsaas dard ko ab hota hai nahin Dil ko koi kuchal jaaye tou kia hai. - By: Sarah Ahmad. Agar app bhi issi tarah apni koi tehreer iss blog par chahtain hain tu hamain likhin, aur doston ko bhi batain: Posted by Free VOiP Calls at 9:35 AM 1 comments Labels: Urdu Ghazal Friday, June 19, 2009 Urdu Shayari - Urdu Romantic Shayari Urdu Shayari - Urdu Romantic Shayari Maine usko salam likh bheja hai

Haale dil tamam likh bheja hai Maine pucha tere hont kaise hain Usne ik lafz jaam likh bheja hai Maine pucha tere baal kaise hain Usne Qudrat ka inaam likh bheja hai Maine pucha kab hogi mulaqaat Usne qayamat ki shaam likh bheja hai Maine pucha intna tadapti kyun hai Us ne jawani ka inteqam likh bheja hai

Maine pucha tere khadu khal kaise hain Usne husne tamam likh bheja hai Maine pucha tujhe nafrat kis cheez hai Usne Kambakhat Mera hi naam likh bheja hai Posted by diazkhan at 6:25 AM 1 comments Labels: Urdu Romantic Shayari, Urdu Sher, Urdu Shyari Wednesday, June 17, 2009 Urdu Shayari - Sad Urdu Shayari - Urdu Shayaris Urdu Shayari - Sad Urdu Shayari - Urdu Shayaris

Itni muddat baad milay ho! Kin sochon mien gum phirtay ho? Itnay khaif kion rahtay ho? Her aahat say darr jatay ho Taiz hawaa nay mujh say poocha Rait per kia likhtay rahtay ho? Kaash koi hum say bhi poochay Raat gaye tak kion jagay ho? Mien darya say bhi darta hon Tum darya say bhi gahray ho Kaun si baat hai tum mien aisi Itnay achay kion lagtay ho? Peechay murr kar kion dekha tha Patthar ban kar kia taktay ho Jao jeet ka jashan manao Mien jhoota hon tum sachay ho Apnay shahar kay saray logon say Meri khatir kion uljhay ho Kahnay ko rahtay ho dil mien

Phir bhi kitnay duur kharay ho Raat humien kuch yaad nahi tha Raat buhut hee yaad aye ho Hum say na poocho hijar kay qissay Apni kaho abb tum kaisay ho Faraz tum badnaam buhut ho Jaisay ho phir bhi achay ho

Posted by diazkhan at 8:20 AM 0 comments Labels: Sad Urdu shayari, Urdu Shayari, Urdu Shayaris Tuesday, June 16, 2009 Urdu Shayari - Shayari in Urdu - Urdu shayeri Urdu Shayari - Shayari in Urdu - Urdu shayeri Apane Khvaabon me tujhe jis ne bhii dekhaa hogaa Aankh khulate hii tujhe Dhundhane nikalaa hogaa Zindagii sirf tere naam se mansuub rahe Jaane kitane hii dimagon ne ye sochaa hogaa Dost ham us ko hii paiGaam-e-karam samajhenge Terii furqat kaa jo jalataa huaa lamhaa hogaa Daaman-e-ziist me ab kuchh bhii nahi hai baaqii Maut aa jay to yaqiinan use dhokaa hogaa Raushanii jis se utar aai lahuu me mere Ay masiihaa vo meraa zaKhm-e-tamannaa hogaa Posted by diazkhan at 9:02 AM 2 comments Labels: Shayari in Urdu, Urdu Shayari, Urdu shayeri Sunday, June 7, 2009 Urdu Shayari -Love Shayari-Shayari Urdu Shayari -Love Shayari-Shayari Koi hath nahi khali hai Ye nagri kaisi hai koi kisi ka dard na jane sab ko apni padi hai Uska bhi kuch haq hai aakhir Usne mujhse nafrat ki hai Phool dawa jaise mahke hai kisi bimar ki subah hui hai Jaise sadiyan beet chuki ho Phir bhi aadhi raat abhi hai Kaise kategi tanha tanha Itni sari umer padi hai Hum dono ki khub nibhegi Main bhi dukhi hu woh bhi dhuki hai

Posted by diazkhan at 10:03 AM 0 comments Labels: Urdu Shayari -Love Shayari-Shayari Monday, June 1, 2009 urdu poetry aka Urdu Shayari, urdu ghazals urdu poetry aka Urdu Shayari, urdu ghazals Aisa lagta hai zindagi tum ho Ajnabi kahe ajnabi tum ho Log kahte hain ajnabi tum ho Ajnabi meri zindagi tum ho Mujhe apna shareeke gham karlo Yun akele bahot dukhi tum ho Dosto se wafa ki ummiden Kis zamane ke admi tum ho Dil kisi aur ka na hosaka Aarzo meri aaj bhi tum ho Main zamin pe ghana andhera Aasman ki chandni tum ho Log aate hain log jate hain meri aankhon mein aaj bhi tim ho Posted by diazkhan at 9:37 AM 1 comments Labels: urdu ghazals, urdu poetry, Urdu Shayari, Urdu Sher Sunday, May 31, 2009 Urdu Shayari-Urdu Ghazal-Judai Shayari Urdu Shayari-Urdu Ghazal-Judai Shayari Main lafzon se kuch bhi izhar nahi karta Iska Matlab ye to nahi ki main tujhe pyar nahi karta Chahta hu main tujhe aaj bhi Par teri soch me apna waqt bekar nahi karta Tamasha na ban jay meri Mohabbat kahin Isliye apne dard ko Aashakar nahi karta Jo kuch Mila hai Usi me khush hun Tere liye Khuda se takrar nahi karta Par kuch to baat hai teri fitrat me zalim Warna tujhe chahne ki Khata baar baar nahi karta Posted by diazkhan at 8:49 AM 0 comments

Labels: Judai Shayari, Urdu Ghazal, Urdu shair, Urdu Shayari Thursday, May 28, 2009 Urdu Sher - Azad Nazm - Urdu Azad Nazm Urdu Sher-Azad Nazm- Azad Nazm

Shayed Jashne Azaadi par Abba Tum ne Bhayya ki ek kaapi lekar Kuch acche se naare Aur kuch pyaare pyaare geet likhe the Azaadi ke,Yakjahti ke,Hubbe watan ke, AAJ Us kaapi ka mujh ko ek waraq Gahr ke bikhre saman me mila Jis par Aap ne ye likha hai Hindu,Muslim,Sikh,Isaai! Aapas me hain Aapas me hain Us ke aage Aap ne jane kya likha tha Bhige bhige,phaile phaile,madham madham,lafzon ko main Dekho kab se ghoor raha hu Lekin Abba Ab to unka padhana bhi na mumkin hai Kyu ki in par Khoon Apka phail gaya hai!!!!! Posted by diazkhan at 10:34 AM 1 comments Labels: Azad Nazm, Urdu Azad Nazm, Urdu Shayari, Urdu Sher Tuesday, May 12, 2009 Urdu Shayari, IT Engineer Ki Shayari!!!

Urdu Shayari, IT Engineer Ki Shayari!!! Jo sadiyaon se hota aaya hai, woh repeat kar doonga... Tu naa mili to tujhko dil sey Ctrl+Alt+delete kar doonga... ************ ****** Company kee ladkiyaan sunder hain aur lonely hain... Problem ye hai ki bus voh READ-ONLY hain... ************ ****** Shayad mere pyar ko taste karna bhool gaye... Dil sey aisa CUT kiya ke PASTE karna bhool gaye... ************ ****** Tumhare samne hain itney items kabhi hame bhi pick karo... Hamare pyar ke ICON pe kabhi to tum DOUBLE-CLICK karo... ************ ****** Roz subha hum karte hain itne pyar se unhe good morning... woh humhe ghoor kar dekhte hain jaise 0 ERRORS but 5 WARNINGS... ************ ****** Ho gayi galti humse, click ho gaya mouse Duniya ki parwaah chhodo, ban jaao meri spouse! ************ ****** Tumse mila main kal to, mere dil mein hua ek sound, Lekin aaj tum mili to kehti ho: Your file not found! ************ ****** Ab aur kaho na tum, "but" ya "if" Tum ho meri zindagi ki animated gif ************ ****** Aysa bhi nahin hai ke, I don't like your face Par dil ke computer mein, nahin hai enough disk space ************ ****** Ghar se nikalti ho tum jab, pehen ke evening gown Too many requests se, ho jaata hai server down ************ ******

Tumhaare liye pyaar ki application, create main karoonga Tum usse debug karna, wait main karoonga ************ ****** Tumhaara intezaar karte karte, main so gaya Yeh dekho mera connection, time out ho gaya ************ ****** Kya chaal hai tumhaari, jaise chalti hai koi cat What is your ICQ number, aao karein chat ************ ****** Tum jabse meri zindagi mein, aayi ho banke female Yaad raha na ab kuch, na postman, na email Posted by Free VOiP Calls at 1:46 AM 2 comments Labels: IT Engineer Ki Shayari, Urdu Shayari Saturday, March 14, 2009 Urdu ghazal - Urdu Shayari Urdu ghazal - Urdu Shayari Aastino mein naag paale hai, Loog bemaut marne waale hai, Raunke jisme sar ba sajda thi, Us haveli me aaj jaale hai, Haddiyan choos lenge dunya ki, Wo zamane ne kutte paale hai, zakhm bakhshe hai usko phoolo ne, Jisne pathar nichod dale hai, Har parinde ki rooh larza hai, Aise fande soonahre dale hai, Sheesh mahloon ki aaj khair nahi, Waqt ne sang wo uchale hai, Sach ko jhutla diya tha jisne , Aaj uski jubaa me chhale hai, Unko koi samagh nahi sakta, Unke andaaz hi nirale hai, Jo bhi katil hamare hai 'shoeb', Phool se chehre bhole bhale hai.

Posted by mohd shoeb at 4:50 AM 1 comments Labels: Urdu Ghazal, Urdu Romantic Shayari, Urdu Shayari Monday, March 2, 2009 Urdu SMS - Urdu Romantic SMS Urdu Shayari - Urdu Romantic Shayari Tanhai se nahi hum mehfil se darte hai, Duniya se nahi hum khud se darte hai, Yu to bahut kuch khoya hai na jane kyu, Tumhe khine se darte hai . JANU......... Aap se door kaise reh paate, Dil se aap ko kaise bhula paate, Kaas aap sapno ke alawa, Shise me base hote to, Khud ko bhi dekhte to aap nazar aate. Posted by mohd shoeb at 10:25 AM 0 comments Labels: Urdu Romantic Shayari, Urdu Romantic SMS, Urdu SMS Urdu Shayari - Urdu Romantic Shayari Urdu Shayari - Urdu Romantic Shayari Na karo wo vada jise tum nibha na sako, Mat chaho use jise tum pa na sako, Pyar kahan kisi ka pura hota hai, Pyar ka pehla akshar hi adhura hota hai. Aati hai yaad bar-bar, Tumhe kaise bhlaye hum, Jis dil me tuhari yaad na ho, Aisa dil kahan se laye hum. Posted by mohd shoeb at 10:03 AM 0 comments Labels: Urdu Love Shayari, Urdu Romantic Shayari, Urdu Romantic SMS, Urdu Shayari Thursday, February 19, 2009 Urdu Shayari - Romantic Urdu Shayari Urdu Shayari - Romantic Urdu Shayari Bazi e Ishq Kuch Es Tarah Se Harey Yaroo Zakham Per Zakham Lagey Dil Pe Humare Yaroo

Koi To Aisa Ho Jo Ghao Per Marham Rakhey Yuun To Dushman Na Bunno Sare Ke Sare Yaroo

Bazm Main Ser Ko Jhukaye Huye Jo Bethy Hain In Ko Mat Cheroo Yeh Hain Ishq Ke Marey Yaroo

Jinn Main Hoty Thy Kabhi Meher O Wafa Ke Moti In Hi Ankhon Main Sittam Ke Hain Sharary Yaroo

Dost Hi Apny Jo Kerny Lageen Nazr E Tofaan Kaam Nahi Aty Phir Koi Saharey Yaroo

Sang Gheroon Ne Jo Marey To Koi Dukha Na Hua Mer Gaye Tum Ne Mager Phool Jo Marey Yaroo

Wo Jo Raha Dil Geer Tumhari Khatir Tum Ne Kya Kya Nahiin Taney Usy Marey Yaroo Posted by Free VOiP Calls at 10:22 AM 0 comments Labels: Romantic Urdu Shayari, Urdu Shayari Thursday, January 15, 2009 Urdu Ghazal - Urdu Shayari - Urdu Sher Urdu Ghazal - Urdu Shayari - Urdu Sher Na who farishta ho na farishtey jaisa ho Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to Muskra key manayee, woh aisa ho Jo baat karey to woh nibha bhi sakey Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho Dukhon mein hansney ka hunar janta ho Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisi Key woh to bilkul aasman key chand jaisa ho Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho Umar bhar saath chalney ka azam-e-wafa rakhta ho Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko

Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho Posted by Free VOiP Calls at 8:59 AM 4 comments Labels: Urdu Ghazal, Urdu Shayari, Urdu Sher Saturday, January 10, 2009 Sad Ghazal - Dardbhari Ghazal - Sad Shayari Sad Ghazal - Dardbhari Ghazal - Sad Shayari Unko tasavoorat me aane nahi diya Halat ne ye lutf uthane nahi diya Gam mere sath sath bahut door tak gaye Sikwa magar Zaban pe aane nahi diya Dastaar gir gai to gire sar to bach gaya kuch behiso ko zarf khuda ne nahi diya Tha kitna dil shikan teri yadoon ka marhala Aankhon ko phir bhi ashk bahane nahi diya Majbooriyon ne pao mein zanjeer daal dee Hamne khusi se apko jane nahi diya Mai khud hi apni rah ka pathar bana raha Aisa nahi sath dua ne nahi diya 'shahid' meri saada dilo ne khabhi mughe Aena doosto ko dikhane nahi diya. Posted by mohd shoeb at 7:39 AM 0 comments Labels: Dardbhari Ghazal, Sad Ghazal, Sad Shayari Urdu Ghazal - Urdu Romantic Ghazal - Urdu Nazm Urdu Ghazal - Urdu Romantic Ghazal - Urdu Nazm Gazab ka husno sabab bekha zameen par mahtab dekha Khiza raseeda chaman mein aksar Khila khila sa gulab dekha Kisi ke rukh pe parisa gesoo kisi ke rukh pe nakab dekha Wo aae milne yakin kar loo Ki meri aankho ne khwab dekha Lo tooti tauba lo chhanke sagar Jo unko peete sarab dekha

Na dekhoo roze hisab ya rab Zamee pe jitna azab dekha Milega insaf kaise 'shahid' sadakto pe nakab dekha. Posted by mohd shoeb at 7:20 AM 1 comments Labels: Urdu Ghazal, urdu nazm, Urdu Romantic Ghazal Wednesday, November 19, 2008 Sad Shayari - Tanhayi Shayari Sad Shayari - Tanhayi Shayari Dor Kahin, Ek Piple ki Dehleez pe Bhite, Hum Apne dil ke Sulgane Ka sabab Soch Rahe The Jala Ke Chal Diye Hamara Dil Wo Kyon, Ye Sonch Rahe the.... Kyon Kar bhaite Hum Mahabbat Bewafa se, Hum Sonch Rahe the Posted by Free VOiP Calls at 12:55 PM 0 comments Labels: Sad Shayari, Tanhayi Shayari Mazahiya Shayari - Urdu Sher Mazahiya Shayari - Urdu Sher 1) Un se pocha Jo Chand Nikalta Hain Kis Tarah se Apni Zulfon Ko Rokh pe Jatak Diya Ke Yun 2) Ya rab nigahe naaz par bhi kyon na ho licen wo bhi to qatal karti hai talwar ki tarah. 3) Is dunya ne meri wafa ka kitna uncha mol diya, pairon mein janjire dali hatho mein kaskol diya, jab bhi koi inam mila mera naam bhi bhool gaye, jab koi iljam laga mujh par la kar dool diya, ab chahe andhi aye ya phir toofan aye, maine bas aahat payi aur darwaza khula chod diya. Posted by Free VOiP Calls at 12:49 PM 0 comments Labels: Mazahiya Shayari, Urdu Sher Wednesday, September 24, 2008 Urdu Love Shayari - Urdu Love Ghazal Urdu Love Shayari - Urdu Love Ghazal tere batoon se jo khabi pothti thi roshni

tere itebar ne barha di thi chamak aur bhi tera lehja tere shoki tere ilfaz tere gugtago mere jine ki tamana barha dati thi khabi ehsas kudgarzi jo ta mere nazon pe pala tere vajod tere ehsas tere sochon ne use dabaya man tu ta kudh main magan muje kia thi fiker kisi ki tu ne jane kia kya main tuj main kho gaya tere soch ko le ker phr kia kai na socha tere naam se kahwab apna sajaya phr howa kuch asa k shad koi rooth gaya jo khawab ta who toot gaya kisi ke itebar ne sach dekhlaya ik lafz ne sub kuch bataya jo ehsas ta dabaya phrse use jagaya pehle roshni ko phr us ne gataya itebar bin ha sab kuch la-hasil hun ne kudh ko yeh samjaya jaan se guzar kr hum ne jane kase khawab apna kudh hi hai bolaya ab phote chahe phr roshni ni koi apna dil ko yeh samjaya bas kuch ase hum ne dil apna kisi ke nazoon pe hai gawaya Posted by Free VOiP Calls at 7:40 AM 0 comments Labels: Urdu Love Ghazal, Urdu Love Shayari Friday, August 8, 2008 Urdu Shayari - Urdu Ghazal - Koi Diwar Na Dar...... Urdu Shayari - Urdu Ghazal - Koi Diwar Na Dar...... Koi Dewar na dar rakhta hun ghar ka ahsas magar rakhta hun log rakhte hain charagon pe nazr main hawaon pe nazar rakta hun kyon na pathrou karen sab mujh par sakh der sakh samr rakhta hun ek nai simt janam leti hai paon main apne jidhar rakhta hun ye zamin cheez hai kya main Sabir

asmano ki khabr rakhta hun -Ayub Sabir Posted by Free VOiP Calls at 1:37 PM 0 comments Labels: urdu gazal, Urdu Ghazal Thursday, July 17, 2008 Urdu Shayari - Love Urdu Sher - Urdu Ghazal Urdu Shayari - Love Urdu Sher - Urdu Ghazal - Farq Sirf Itna Sa Tha Farq sirf itna sa tha, US ki doli uthi meri maiyat uthi, phool US per bhi they, phool mujh per bhi they, mehfil wahan bhi thi , log yahan bhi the, Un ka hansna wahan, in ka rona yahan, sahelian us ki bhi thin, dost mere bhi they, Do qul US k perhey, do qul mere perhey, Qazi udher bhi tha, moulvi idher bhi tha, WOH saj k gaya, mujhe sajaya gaya, WOH uth k gaya, mujhe uthaya gaya, Farq sirf itna sa tha usey APNAYA gaya, mujhe DAFNAYA gaya. Posted by Free VOiP Calls at 9:55 PM 4 comments Labels: Dard Bhari Urdu Shayari, love urdu sher, Urdu Ghazal Wednesday, June 11, 2008 Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Ghazal Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Ghazal jaata hoon tere dar se mujhko tum bhula dena ho sake to aisa bhi karna bahut dinon tak ilzaam na dena thoda pyaar bhi yaad rakhna thodi muskaane bhi aye mere haseen dost mujhko sirf ilzaam na dena teri yaad pal pal sataayegi phir zindagi is patte ko udaa le jaayegi jaata hoon tere dar se mujhko tum bhula dena kaash kuch kaash main jaata hoon mujhko tum din aur hote kismat mein adna insaan na hota tere dar se bhula dena

tera dard ab na baat paoonga teri kismat phir kahan sanwaar paoonga jaata hoon tere dar se mujhko tum bhula dena ho sake to kabhi mujhe maaf kar dena ho sake to mere liye apne aansoo khud ponch lena jaata hoon tere dar se mujhko tum bhula dena Posted by Free VOiP Calls at 12:17 PM 0 comments Labels: Dard Bhari Urdu Shayari, dard urdu sher, love urdu sher Thursday, May 15, 2008 Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Romantic Shayari - Urdu Love Shayari Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Romantic Shayari - Urdu Love Shayari HaMaRi AdHoOrI KaHaNi Saath Rooti Thi Mere Saath Hansa Karti Thi, Wo Larki Jo Mere DiL Mei Basa Karti Thi. Meri Chahat Ki Talabgar Thi Is Darja Kay, Wo Musalley Pay Namazon Mei Duaa Karti THi. Ek Lamhey Ka Bicharna Bhi Giran Tha USko, Rootey Huwe Mujhko Khud Se Juda Karti Thi. Mere Dil Mei Raha Karti Thi Dhadkan Ban Kar, Or Saaye Ki Tarha Saath Raha Karti Thi. Rog Dil Ko Laga Bethi Anjaney Mei, Meri Aaghosh Mei Marne Ki Duaa Karti Thi. Baat Qismat Ki Hai Sirf Juda Ho Gaey Hum, Warna Wo Toh Mujhey Taqdeer Kaha Karti Thi.. Posted by Free VOiP Calls at 2:16 AM 0 comments Labels: HaMaRi AdHoOrI KaHaNi, Urdu Love Shayari Monday, May 5, 2008 Urdu Shayari - Urdu Sher - Romantic Urdu Shayari Urdu Shayari - Urdu Sher - Romantic Urdu Shayari - SMS Urdu Shayari meray dil main bi kuch kwahishain hain mian bi bohut kuch teray naam pay sochna chahti hoon aam bohut aam si lerki hoon aur teray khwab jagti aankhoon say dekhna chahti hoon

main bi chahti hoon teray kuch lumhay faqt meray wastay hoon aik ho manzil teray meray rastay hoon kai baar main teay uthtay qadam rokna chahti hoon bohut khamoshi hai kuch bolna chahti hoon lakin ik khuf terkay tualuk ka meray damangeer hai meri aana meray kadmmon main peri zanjeer hai kay khud ko kho ker kisi ko pana meri fitert nahi hai bohut aam sahi main lakin yeh bi haisiiat nahi hai kay khud ko kho to main ik lumha na jee paoon gi tum gunnwah bi diya to chund din main behul jaoon gi kay tum chahat ho meri sherta.e. zindagi nahi ho pehly kwahish ho mager aakhri nahi ho Posted by Free VOiP Calls at 6:53 AM 1 comments Labels: Romantic Urdu Shayari, SMS urdu shayari, sms urdu sher Wednesday, April 30, 2008 Urdu Shayari - Urdu Ghazal - Mirza Ghalib - Har ek baat pay kehtay ho Urdu Shayari - Urdu Ghazal - Mirza Ghalib - Har ek baat pay kehtay ho Meri Ek "all time favorate ghazal" Listen and enjoy

These are the pics of my visit to Ghalib's Haveli and of red fort...with one ghalib's best known GHazal. here are the lyrics and translation : hain aur bhi duniya main sukhanwar bahut acchay (There are other poets in the world that are very good) kehtay hain ki ghalib kay andaaz-i-bayaan aur....(they say but that the way Ghalib puts it, is something else..) Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai (on just about every thing u tell me who u are) Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai (on just about every thing u tell me who u are) tumhi kaho ki, yeh andaz-i-guftagoo kya hai (now u only tell wat is this way to talk like this..) tumhi kaho ki, yeh andaz-i-guftagoo kya hai (now u only tell wat is this way to talk like this..)

Ragon mein daudtay firnay kay hum nahi kayal (i am not fond of seeing them flow in

the veins) Ragon mein daudtay firnay kay hum nahi kayal (i am not fond of seeing them flow in the veins) Jab aankh hi say na tapka to fir lahoo kya hai (when it didnt dropped out of the eyes then may be its not blood) Ragon mein daudtay firnay kay hum nahi kayal (i am not fond of seeing them flow in the veins) Jab aankh hi say na tapka to fir lahoo kya hai (when it didnt dropped out of the eyes then may be its not blood) chipak raha badan par lahu se pairaahan hamare jeb ko ab haajat-e-rafu kya hai (When my bloodied clothes are sticking to my body...What is the use of mending/darning my pocket then) jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga (when the body has burned now..may be the heart would have burnt too) jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga (when the body has burned now..may be the heart would have burnt too) Kuraidtay ho jo ab raakh justajoo kya hai (now why do u scratch these ashes..wat do u really want now) Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai (on just about every thing u tell me who u are) rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhee(There remains none but little strength to speak) rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhee(There remains none but little strength to speak) to kis umeed pay keh dain ki aarzoo kya hai (then on wat hope should i tell u wat is my wish) to kis umeed pay keh dain ki aarzoo kya hai (then on wat hope should i tell u wat is my wish) Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai (on just about every thing u tell me who u are) tumhi kaho ki, yeh andaz-i-guftagoo kya hai (now u only tell wat is this way to talk like this..) Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai (on just about every thing u tell me who u are)

A famous and beautiful ghazal from the magnificent drama 'Mirza Ghalib' by Gulzar. Sung beautifully by Jagjit Singh

Posted by Free VOiP Calls at 3:05 PM 0 comments Labels: Hazaron khwahishen aisee By Mirza Ghalib Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Romantic Shayari Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Romantic Shayari raat khwab mein humne ek nazara kar liya, socha tha jis shaks ko use hamara kar liya.... poocha ke kahan thamega is "lover" ka safar, to falak ke chand ne sharmakar aapka ishara kar diya Posted by Free VOiP Calls at 2:58 PM 0 comments Labels: Urdu Romantic Shayari Wednesday, April 16, 2008 Urdu Shayari - Urdu Sher - Love Urdu Shayari - Love Hindi Shayari Urdu Shayari - Urdu Sher - Love Urdu Shayari - Love Hindi Shayari Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon Faaslay itney bhi ho jaain gai sochha hi na tha Teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhoon Kaisey dorahey per khara hoon ke aqal sakit hai Dar hai pyaron sey judai ka, khud ko tarapta dekhoon Tera ehsas-e-janoon mujh ko bhi pyara hai mager Ishq ke anjam mein apney liye azziat dekhoon Dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai Teri aankhon mein wohi pyar Avi.... phir se dekhye Mein ne her lamha khuda se mangee hai dua Mein teray pyar ka mausam sada hi dekhoon Posted by Free VOiP Calls at 3:08 AM 0 comments Labels: love hindi shayari, love urdu shayari, love urdu sher Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu love Shayari - Urdu Love Sher Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu love Shayari - Urdu Love Sher kahan aa ke ruknay thay rastay,kahan morr tha bhool ja

jo mil gaya usay yad rakh jo nahi mila usay bhool ja wo tere naseeb ki barishen kisi or chat pe baras gai dil-e-bekhabar meri baat sun,,,usay bhool ja wo jo bisat-e-jan hi ulat gaya wo jo rastay se palat gaya usay roknay se hasool kia,usay mat bula usay bhool ja Posted by Free VOiP Calls at 2:40 AM 0 comments Labels: Romantic Urdu Shayari, Urdu Shayari, Urdu Sher Friday, March 28, 2008 Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Sad Shayari - Urdu Sad Sher Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Sad Shayari - Urdu Sad Sher meri kabar pe aake tum awaaz nahi karna dard ki nayii daastan ka aagaaz nahi karna... apni bebassi ko khud hii byaan karega ye chehre ko kisi aaine ka mohthaaz nahi karna... raaz Jo khud se hii na chhipaa paao tum aise raaz mein kisi ko hamraaz nahi karna... namumkin hai haqikat ke aasman mein urnaa khaabon ke sahare isme parwaaz nahi karna... zakham phir zakham hai.N ik roz bhar jaynge husan wallon ko inke charasaaz nahi karna... khaakh se bane ho khaakh mein mil jaaoge kabhi bhoole se bhi khud pe naaz nahi karna Posted by Free VOiP Calls at 2:39 PM 0 comments Labels: Sad Urdu shayari, Urdu sad sher -shayari Older Posts Subscribe to: Posts (Atom) Subscribe Urdu Sher Shayari via email Enter your email address: Urdu Shayari - Urdu Sher - Latest Urdu Sher Is Blog Ko banane ka magsad Urdu Sher aur Urdu Shayari (Urdu Shairi) Ko Farug dena hai. Urdu zaban ko bachana hai. Ajj kal ke zamane main hum sab jantain hain ki Urdu kis halat ku pahoonch choki hai. Is ki ghirti hui sakh ko bachana hi hamara magsad hona chaiye. Aiaye is blog ko mere aur app ke zariye ek nayi bolandiyon par le jayen.