29
PAGE 24 Mataa-e lauh-o qalam chhin gayi to kya gh am hai Ke kh oon-e dil meiñ d uboli hai ungliyaañ maiñ ne Zabaañ pe mohr lagi hai to kya, ke rakh di hai Har ek halqa-e zanjeer meiñ zabaañ maiñ ne Why grieve if paper and pen have been snatched away For I have dipped my fingers in the blood of my heart So what if my own speech has been fettered; I have placed A tongue in the mouth of every link of the chain that binds me – Faiz Ahmad Faiz PAGE 25 Bhad ka raheñ haiñ aag lab-e nagh magar se hum Kh aamosh kya rahenge zamaane ke d ar se hum Le de ke apne paas faqat ek nazar to hai Kyoñ dekheñ zindagi ko kisi ki nazar se hum Maana ke is zameeñ ko na gulzaar kar sake Kuch kh aar kam to kar diye, guzre jidhar se hum Here we go, stoking flames through song-laden lips The fear of the world can never staunch the flow of our words In all, we have just one view, our own Why should we see the world through someone else’s eyes? It is true, we did not turn the world into a garden But at least we lessened some thorns from the paths we traveled – Sahir Ludhianvi Deep jis ka mahallaat hi meiñ jale Chand logon ki kh ushiyoñ ko le kar chale Voh jo saaye meiñ har maslehat ke pale Aise dastoor ko, subh-e benoor ko Maiñ nahiñ maanta! Maiñ nahiñ jaanta!

PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

Embed Size (px)

Citation preview

Page 1: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

PAGE 24

Mataa-e lauh-o qalam chhin gayi to kya gham haiKe khoon-e dil meiñ duboli hai ungliyaañ maiñ neZabaañ pe mohr lagi hai to kya, ke rakh di haiHar ek halqa-e zanjeer meiñ zabaañ maiñ ne

Why grieve if paper and pen have been snatched awayFor I have dipped my fingers in the blood of my heartSo what if my own speech has been fettered; I have placedA tongue in the mouth of every link of the chain that binds me – Faiz Ahmad Faiz

PAGE 25

Bhadka raheñ haiñ aag lab-e naghmagar se humKhaamosh kya rahenge zamaane ke dar se humLe de ke apne paas faqat ek nazar to haiKyoñ dekheñ zindagi ko kisi ki nazar se humMaana ke is zameeñ ko na gulzaar kar sakeKuch khaar kam to kar diye, guzre jidhar se hum Here we go, stoking flames through song-laden lipsThe fear of the world can never staunch the flow of our wordsIn all, we have just one view, our ownWhy should we see the world through someone else’s eyes?It is true, we did not turn the world into a gardenBut at least we lessened some thorns from the paths we traveled

– Sahir LudhianviDeep jis ka mahallaat hi meiñ jaleChand logon ki khushiyoñ ko le kar chaleVoh jo saaye meiñ har maslehat ke paleAise dastoor ko, subh-e benoor koMaiñ nahiñ maanta! Maiñ nahiñ jaanta!

A lamp that sheds light only on palacesThat caters to the whims of a chosen fewThat flourishes in the shadow of compromise This system, this light-starved morningI do not accept!

– Habib Jalib

PAGE 50

Alvida ai surkh parcham, surkh parcham alvidaAi nishaan-e azm-e mazloomaan-e aalam alvida

Page 2: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

Deeda-e purnam ne kal dil se kaha tha marhabaAaj lekin kah rahi hai chashm-e purnam alvidaRazmgaah-e khair-o shar meiñ yaad aayegi teriHaañ maiñ ab aur lashkar-e Iblees-e Aazam alvidaAi furaat-e tishnakaamaan-e jihaad-e zindagiKhulzum-e tishnaalabi ki mauj-e barham alvida

Farewell O Red Flag, Red Flag farewellFarewell, O symbol of the dynasty of the oppressedTill yesterday, my brimming eyes cheered you onToday, these eyes filled with tears, bid you farewellYou will be missed in the battles between good and evilToday I find myself alone in the fight against the Great Satan, farewellO, the river that slaked the thirst of the martyrs in the struggle of lifeO, eager waves that fed the parched ones, farewell

– Ali Sardar Jaafri

Bol ke lab aazaad haiñ tereBol zabaañ ab tak teri haiTera sutvaañ jism hai teraBol ke jaañ ab tak teri hai

Dekh ke aahangar ki dukaañ meiñTund haiñ sholay, surkh hai aahanKhulne lage qufloñ ke dahaanePhaila har ek zanjeer ka daaman

Bol ye thoda waqt bahut haiJism-o zabaañ ki maut se pahleBol ke sach zinda hai ab takBol jo kuch kahna hai, kah le

Speak, for your lips are still freeSpeak, for your tongue is still yoursYour body, though frail, is still yours Speak, for your life is still yours

Look, in the blacksmith’s workshopThe flames are hot, the steel is redThe mouths of the locks are beginning to openThe links of chains are coming undone

Speak, for the little time you have is enoughBefore your body and tongue dieSpeak, for truth still livesSpeak up, say that which you must!

Page 3: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

– Faiz Ahmed Faiz

PAGE 51

Kahaañ tak ye bil-jabr mar mar ke jeenaBadalne laga hai amal ka qareenaLahu meiñ hai khaulan, jabeeñ par paseenaDhadakti hai nasbeñ, sulagta hai seenaGaraj ai baghaavat ke tayyaar hooñ maiñ

How long will I live this oppressed death-like existenceThe times are about to changeMy blood boils, my brow is sweatyMy pulse pounds, my chest is fieryRoar O Revolution, for I am ready

– Kaifi Azmi

In kaali sadiyoñ ke sar se jab raat ka aanchal dhalke-gaJab dukh ke baadal pighlenge, jab sukh ka saaghar chhalke-gaJab ambar jhoom ke naachega, jab dharti naghme gaayegiVoh subha kabhi to aayegi

That morning, when the veil of night will slip away from the head of these dark centuriesWhen the clouds of suffering melt, when the wine-glass of happiness sparklesWhen the sky dances joyously and the earth sings songs of delightSurely, that morning will dawn some day

– Sahir Ludhianavi

Chashm-e nam jaan-e shoreeda kaafi nahiñTohmat-e ishq-e posheeda kaafi nahiñAaj bazaar meiñ pa-bajaolaañ chalo

The teary eyes and the stormy life are not enoughThe burden of a love that is kept secret is not enoughToday, come out in the public wearing your chains

– Faiz Ahmed Faiz

Hai dasht ab bhi dasht, magar khoon-e pa se FaizSeraab chand khaar-e mugheelaañ hue to haiñ

The desolate desert we walked through still remains desolate, FaizBut at least the thirst of some of its thorns has been quenched by the blood of our feet

– Faiz Ahmed Faiz

Page 4: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

PAGE 72

Fan jo naadaar tak nahiñ pahunchaApne meyaar tak nahiñ pahuncha

The art that doesn’t reach the poorHas not achieved its potential

– Sahir Ludhianavi

Ab ahl-e dard ye jeene ka ehtemaam kareñUse bhula ke gham-e zindagi ka naam kareñ

Sikhaayeñ dast-e talab ko adaa-e bebaakiPayaam-e zer-e labi ko salaa-e aam kareñ

Ghulaam rah chuke, todeñ ye band-e ruswaaiKuch apne baazu-e mehnat ka ehteraam kareñ

Let the lovers prepare to face the worldForget their beloveds, focus on the sorrows of Life

Teach the supplicating hand to be boldTurn that which has been whispered into a public cry

Slaves no more, break the fetters of dishonor Learn to respect the hands that labour

– Majrooh Sultanpuri

Ek mahal ki aad se nikla voh peela maahtaabJaise mullaah ka amaama, jaise baniye ki kitaab

From behind the palace rose the yellow moonLooking like the mullah’s turban, like the moneylender’s ledger

– Israrul Haq Majaz

Maiñ ke ek mehnat-kash, maiñ ke teeragi dushmanSubh-e nau ibaarat hai, mere muskuraane seSurkh inquilaab aaya, daur-e aaftaab aayaMuntazir thi ye aankheñ jis ki ek zamaane seAb zameen gaayegi, hal ke saaz par naghmeVaadiyoñ meiñ naachenge har taraf taraane seManchale bunenge ab rang-o boo ke pairaahanAb sañvar ke niklega, husn kaarkhaane se

I am a worker, I am the enemy of darknessMy smile is what brings about the new morning

Page 5: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

The red revolution arrives, that day of brightness dawnsWhich these eyes have been awaiting for so longNow the earth will sing songs to the beat of the ploughAnthems will dance in the valleysThe carefree will weave garments of color and fragranceAnd beauty shall emerge, adorned, from within the factory walls

– Majrooh Sultanpuri

PAGE 73

Aqaaid vahm hai, mazhab khayaal-e khaam hai saaqiAzal se zahn-e insaañ basta-e auhaam hai saaqi

O Saqi, faith is but superstition, religion an inferior ideaSince the dawn of time, this blindness has imprisoned our imagination

– Sahir Ludhianavi

Ye duniya do rangi haiEk taraf se resham ode, ek taraf se nangi hai

Ek taraf andhi daulat ki paagal aish parastiEk taraf jismoñ ki qeemat roti se bhi sastiEk taraf hai Sonaagaachi, ek taraf Chaurangi haiYe duniya do rangi hai

This world is double-facedOne side covered with silk, the other naked

On the one hand, the hedonism of blind wealthOn the other, bodies sold cheaper than breadOn the one hand lies Sonagachi, on the other ChowringeeThis world is double-faced

– Sahir Ludhianavi

Khaaeñ bhi mazdoor ka, mazdoor par ghurraaeñ bhiDin ko mehnat bhi karaaeñ, raat ko rulvaaeñ bhiBhook ke mazdoor ke bachche bhi bilkeñ maaeñ bhiTuf hai saramaaya parastoñ par kahiñ mit jaaeñ bhiInteqaam, ai inteqaam, ai inteqaam, ai inteqaam

Not satisfied with appropriating the workers’ share, you growl at them tooNot enough that you make them slave during the day, you make them weep at night tooNot only do the workers’ children wail with hunger, their mothers cry tooDamn you, o capitalism-lovers, may you perishRevenge, revenge, revenge, revenge

– Viqaar Ambalavi

Page 6: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

Hum dekhengeLaazim hai ke hum bhi dekhenge, hum dekhengeVoh din ke jis ka vaada haiJo lauh-e azal pe likha haiHum dekhenge

We will witness itIt cannot be but that we too will witness itThat day which has been promised usThat which has been inscribed on the parchment of lifeWe too will witness it.

– Faiz Ahmed Faiz

PAGE 88

Kohsaaroñ ki taraf se surkh aandhi aayegiJabaja aabaadiyoñ meiñ aag si lag jaayegi ...Aur is rang-e shafaq meiñ ba-hazaraañ aab-o taabJagmagaaega vatan ki hurriyat ka aaftaab

A red storm is approaching from over the mountainsSparking a fire in the settlements ...And on this horizon, amidst a thousand tumultsShall shine the sun of our land’s freedom

– Israrul Haq Majaz

Utho meri duniya ke ghareeboñ ko jagaadoKaakh-e umara ke dar-o deewaar hilaadoJis khet se dahkhaañ ko mayassar nahiñ roziUs khet ke har gosha-e gandum ko jalaado

Rise, awaken the poor of my landRattle the palaces of the rich men’s bandA field whose crop the farmer can’t eat?Burn, burn every grain of that wheat

– “Allama” Mohammad Iqbal

Voh Bhagat Singh jis ke gham meiñ ab bhi dil naashaad haiUs ki gardan meiñ jo daala tha voh phanda yaad hai?Zahn meiñ hoga ye taaza Hindiyoñ ka daagh bhiYaad to hoga tumheñ Jaliaanwaala Baagh bhi

That Bhagat Singh whose memory still fills the heart with sorrowSurely you remember the noose you put round his neck?The scars that Indians felt must be fresh in your memory

Page 7: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

Those that were inflicted at Jalianwala Bagh. You remember, don’t you?– Josh Malihabadi

Apna gala kharosh-e tarannum se phat gayaTalvaar se bacha, to rag-e gul se kat gaya

The strain of song tore our throatsWe escaped the sword, but were beheaded by the rose’s vein

– Josh MalihabadiPAGE 89

Abhi giraani-e shab meiñ kami nahiñ aayiNajaat-e deeda-o dil ki ghadi nahiñ aayiChale chalo ke voh manzil abhi nahiñ aayi

The burden of the night still weighs us downThe eye and the heart are still unfreeMove on, for our destination hasn’t yet been reached

– Faiz Ahmed Faiz

Salaam surkh shaheedoñ ki sar-zameen salaamSalaam azm-e buland, aahani yaqeen salaamMujaahidoñ ki chamakti hui jabeen salaamDayar-e Hind ki mahboob arz-e Cheen salaam

Salutations to the land of the red martyrsTo the lofty purpose, its iron-clad certaintyTo the shining foreheads of the revolutionariesTo the land of China, India’s beloved

– Makhdoom Mohiuddin

Aao ke aaj ghaur kareñ is savaal parDekhe the hum ne jo, voh haseeñ khwaab kya hue?Bekas barehnagi ko kafan tak nahiñ naseebVoh vaada-haa-e atlas-o kamkhwaab kya hue?Jamhooriyat-navaaz, bashar-dost, amn-khwaahKhud ko jo khud diye the, voh alqaab kya hue?

Come, and let us ponder on the questionThose beautiful dreams of ours, what came of them?The helpless and naked cannot even afford a shroud What happened to those promises of silk and satin?Democrat, humanist, pacifistWhat happened to all those self-conferred titles?

– Sahir Ludhianavi

Page 8: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

PAGE 109

Jang sarmaaye ke tasallut seAmn jamhoor ki khushi ke liyeJang jangoñ ke falsafe ke khilaafAmn pur-amn zindagi ke liye

Wage war against the grip of capitalismSeek peace for the happiness of the common peopleWage war against the philosophy of warSeek peace for the sake of a harmonious life

– Sahir Ludhianavi

Tum aao gulshan-e Lahore se chaman bar-doshHum aayeñ subh-e Banaaras ki raushni le karHimaalaya ke havaaoñ ki taazagi le karPhir us ke baad ye poochhenge, kaun dushman hai?

You come bearing the gardens of Lahore on your shouldersWe will bring the brightness of Benaras’ morningThe freshness of the Himalayan breezeAnd then, we can ask one another: who is the enemy?

– Ali Sardar Jaafri

Ye qatl qatl kisi ek aadmi ka nahiñYe qatl haq ka, masaavaat ka, sharaafat kaYe qatl ilm ka hikmat ka aadmiyat kaYe qatl hilm-o muravvat ka khaaksaari kaYe qatl ek ka do ka nahiñ, hazaar ka haiKhuda ka qatl hai, qudrat ke shaahkaar ka qatlHai sham sham-e ghareebaañ, hai subha subh-e HunainYe qatl qatl-e maseeha, ye qatl qatl-e Husain

This is not just the murder of one manThis is the murder of truth, of equality, of nobilityThis is the murder of knowledge, of wisdom, of humanityThis is the murder of clemency, of chivalry, of humilityThis is the murder of the alleviators of oppressionThis is not just the murder of one or two, but of a thousandThis is the murder of God, of God’s masterpieceThis night is the night of the wretched, this morning the morning of HunainThis is the murder of the messiah, this the murder of Husain

– Makhdoom Mohiuddin

Page 9: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

PAGE 110

Voh haath aaj bhi maujood-o kaar farma haiñVoh haath jis ne pilaaya kisi ko zahr ka jaamVoh haath jis ne chadhaaya kisi ko sooli parVoh haath vaadi-e Sina meiñ, Vietnaam meiñ haiñHar ek gardan-e meena, har ek jaam meiñ haiñ

Even today, those hands remain and wreak havocThose hands that raised the poisoned chalice to someone’s lipsThose hands that pushed someone to the gallowsThose same hands are still at work in the valley of Sinai, in VietnamAround the neck of every flask, around every goblet

– Makhdoom Mohiuddin

‘Kamina shart-e wafa tark-e sar buvad HaafizBaro guzaar-e tu eeñ-kaar gar nami aayad’

‘Fidelity demands, at the least, the willingness to sacrifice oneself, HafizIf you are not capable of this, then leave!’

– Makhdoom Mohiuddin

Tere hontoñ ke phooloñ ki chaahat meiñ humDaar ki khushk tahni pe vaare gayeTere haathoñ ki shamm’oñ ki hasrat meiñ humNeem-tareek raahoñ meiñ maare gaye…

Jab ghuli teri raahoñ meiñ shaam-e sitamHum chale aaye laaye jahaañ tak qadamLab pe harf-e ghazal, dil meiñ qandeel-e ghamApna gham tha gavaahi tere husn kiDekh khaayam rahe is gavaahi pe humHum jo tareek raahoñ meiñ maare gaye

In the desire for the flowers that were your lipsWe were sacrificed on the dry branch of the scaffoldIn the yearning for the light of your handsWe were killed in the darkening streets...

As the evening of tyranny dissolved in your memoryWe walked on as far as our feet could carry usA song on our lips, a lamp of sadness in our heartOur grief bore witnesss to our love for your beautyLook, we remained true to that loveWe, who were executed in the dark lanes

– Faiz Ahmed Faiz

Page 10: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

PAGE 133

Krishn ka geet hai, Gokhul ki haseeñ shaam hai tuAa kaleje se lagaaleñ ke siyaah-faam hai tu

You are Krishna’s song, you are Gokul’s beautiful eveningCome let us embrace, for you too, like me, are dark-skinned

– Ali Sardar Jaafri

Zulm phir zulm hai, badhta hai to mit jaata haiKhoon phir khoon hai, tapkega to jam jaayega

Tyranny is but tyranny; when it grows, it is vanquishedBlood however is blood; if it spills, it will congeal

– Sahir Ludhianavi

Khaak-e sehra pe jame ya kaf-e qaatil pe jameFarq-e insaaf pe ya paa-e salaasil pe jameTegh-e bedaad pe ya laasha-e bismil pe jameKhoon phir khoon hai, tapkega to jam jaayega

It will congeal on the desert sands, on the murderer’s handOn the brow of justice, and on chained feetOn the unjust sword, on the sacrificial bodyBlood is blood. If it spills, it takes root.

– Sahir Ludhianavi

Zulm ke baat hi kya, zulm ki auqaat hi kyaZulm bas zulm hai aaghaaz se anjaam talakKhoon phir khoon hai, sau shakl badal sakta haiAisi shakleñ ke mitaao to mitaaye na baneAise sholay ke bujhaao to bujhaaye na baneAise naare ke dabaao to dabaaye na bane

Tyranny has no caste, no community, no status nor dignityTyranny is simply tyranny, from its beginning to its endBlood however is blood; it becomes a hundred things:Shapes that cannot be obliteratedFlames that can never be extinguishedChants that will not be suppressed

– Sahir Ludhianavi

PAGE 134

Maiñ qatl to ho gaya tumhaari gali meiñ, lekinMere lahu se tumhaari deewaar gal rahi hai

Page 11: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

True, I was murdered in your streetBut my blood is now corroding your walls

– Javed Akhar

Magar thi khwaaboñ ke lashkar meiñ kis ko itni khabarHar ek qisse ka ek ekhtemaam hota haiHazaar likh le koi fat’ha zarre zarre parMagar shikast ka bhi ek muqaam hota hai

Little did the army of dreams realizeThat every story has an endOne may inscribe ‘Victory’ on a thousand placesBut ‘Defeat’ has its own place too

– Javed Akhar

Jeevan jeevan hum ne jag meiñ khel yahi hote dekhaDheere dheere jeeti duniya, dheere dheere haare logNeki ek din kaam aayegi, hum ko kya samjhaate hoHum ne bebas marte dekhe kaise pyaare pyaare log

In generation after generation, we have seen the same game played That the world eventually won, and the people were gradually defeated‘Goodness will one day be rewarded’, don’t try to convince me of thisFor I have seen many beautiful people die helplessly

– Javed Akhar

Vasl ka sukooñ kya hai, hijr ka junooñ kya haiHusn ka fusooñ kya hai, ishq ke darooñ kya haiTum mareez-e daanaa’i maslehat ke shaidaa’iRaah-e gumrahaañ kya hai tum na jaan paaoge

What is the tranquility of Union, and what the madness of Separation?What are the enchantments of Beauty, and what the secrets of Love?You who are afflicted by Wisdom, who are a slave to CompromiseWhat is the path of the Iconoclasts? You will never understand

– Javed Akhar

PAGE 150

Aur aaj jab in pedoñ ke talePhir do saaye lahraaye hai.NPhir do dil milne aaye haiñPhir maut ki aandhi uth-ti haiPhir jang ke baadal chaaye haiñMaiñ soch raha hooñ in ka bhi

Page 12: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

Apni hi taraah anjaam na hoIn ka bhi junooñ naakaam na hoIn ke bhi muqaddar meiñ likkhiEk khoon meiñ lithdi shaam na ho

And today, when under those same treesTwo other shadows rendezvousTwo other hearts meetThe storms of death gather againThe clouds of war obscure the skyMay they not meet the same fate as oursMay their passion too not prove fruitlessMay the futures of these two loversNot be inscribed on a bloodied horizon

– Sahir Ludhianavi

Qafas hai bas meiñ tumhaare, tumhaare bas meiñ nahiñChaman meiñ aatish-e gul ke nikhaar ka mausamBala se hum ne na dekha to aur dekhengeFurogh-e gulshan-o saut-e hazaar ka mausam

The cage may be in your power, but you do not controlThe season of the flowering of the bright roseAnd so what if we do not see it? For the ones following us will witnessThe brightness of the garden, the singing of the nightingale

– Faiz Ahmed Faiz

Dekh raftaar-e inquilaab, FiraaqKitni aahista aur kitni tez

Behold the pace of revolution, FiraqHow slow, and how swift

– Firaq Gorakhpuri

PAGE 151

Guzishta jang meiñ ghar hi jale, magar is baarAjab nahiñ, ke ye tanhaaiyaañ bhi jal jaayeñGuzishta jang meiñ paikar jale, magar is baarAjab nahiñ ke ye parchaaiyaañ bhi jal jaayeñ

In the last war, homes were burned, but this timeEven the loneliness may burn awayIn the last war, only bodies burned, but this timeEven the silhouettes may burn away

– Sahir Ludhianavi

Page 13: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

Bartari ke saboot ki khaatirKhooñ bahaana hi kya zaroori hai?Ghar ki taareekiyaañ mitaane koGhar jalaana hi kya zaroori hai?

To prove one’s superiorityIs it necessary to shed blood?To eliminate the darkness of the houseIs it necessary to set it ablaze?

– Sahir Ludhianavi

Bezaar hai kanisht-o kaleese se ye jahaa.NSaudagaraan-e deen ki saudaagari ki khairIlhaad kar raha hai murattab jahaan-e nauDair-o haram ki hay’ola ghaaratgari ki khairInsaañ ulat raha hai rukh-e zeest se naqaabMazhab ke ehtemaam-e fusooñ parvari ki khair

This world is sick of the temple, mosque, churchYou who peddle religion, bewareAtheism is now laying the foundation of a new worldThe plundering edifices of faith, bewareHumanity is unveiling the real face of lifeReligion’s wily artifice, beware

– Sahir Ludhianavi

Vajh-e berangi-e gulzaar kahooñ to kya ho?Kaun hai kitna gunehgaar, kahooñ to kya ho?Tum ne jo baat sar-e bazm na sun-na chaahiMaiñ vahi baat sar-e daar kahooñ to kya ho?

What if I told you the reason the garden had no colour?And what if I became the accountant of sins?The words you did not want to hear in the civil assembly,What if I spoke those very words on the gallows?

– Sahir Ludhianavi

PAGE 172

Voh yaar hai jo khushboo ki taraahJis ki zubaañ Urdu ki taraah

A friend is like a fragranceWhose language is (sweet) like Urdu

Page 14: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

– Gulzar

Mujh ko is ka ranj nahiñ hai, log mujhe fankaar na maaneñFikr-o sukhan ke taajir mere sheroñ ko ash’aar na maaneñ

I do not regret that people do not consider me an artistThat the traders of thought and words do not think of my poems as poetry

– Sahir Ludhianavi

Aate haiñ ghaib se ye mazaameeñ khayaal meiñGhalib, sareer-e khaama, navaa-e sarosh hai

These ideas come to me from the voidGhalib, the sound of pen on paper is the flutter of angels’ wings

– Ghalib

Duniya ne tajrubaat-o havaadis ki shakl meiñJo kuch mujhe diya hai, voh lauta raha hooñ maiñ

What the world, in the form of experiences and accidentsHas bestowed upon me; I hereby return

– Sahir Ludhianavi

Ye chamanzaar, ye Jamuna ka kinaara, ye mahalYe munaqqash dar-o deewaar, ye mehraab, ye taaqEk shahenshaah ne daulat ka sahaara lekarHum ghareeboñ ki mohabbat ka udaaya hai mazaaqMeri mahboob, kahiñ aur mila kar mujh se

These gardens, the banks of the Jamuna, this palaceThese wonderfully carved walls, doors, awningsAre but an emperor’s display of wealthThat mocks the love of the poorMy love, meet me elsewhere

– Sahir Ludhianavi

Hamaara pyaar havaadis ki taab la na sakaMagar inheñ to muraadoñ ki raat mil jaayeHameñ to kashmakash-e marg-e be amaañ hi miliInheñ to jhoomti gaati hayaat mil jaaye

Our love did not survive the savage power of circumstanceAt least they should reach the destination of their desiresWe found ourselves in the maelstrom of a pitiless deathAt least their life should be filled with dance and song

– Sahir Ludhianavi

Page 15: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

PAGE 172

Agar palak pe haiñ moti to ye nahiñ kaafiHunar bhi chaahiye alfaaz meiñ pirone ka

It is not enough if pearls of tears abound on eyelashesOne must have the craft to weave them into a necklace of words

– Javed Akhtar

Us ke ek haath meiñ hai jeet us kiDoosre haath meiñ tanhaai hai

In one hand, VictoryAnd in the other, Loneliness

– Javed Akhtar

Jaane kaisa daur hai jis meiñ ye jur’at bhi mushkil haiDin ho agar to likhooñ use din, raat agar ho, raat likhooñ

I wonder what kind of an age this is, where even this much courage is tough to musterThat if I see it is day, I write it as day, that when it is night, I call it night

– Javed Akhtar

Lo dekh lo, ye ishq hai, ye vasl hai, ye hijr Ab laut chaleñ aao, bahut kaam pada hai

All right, look: this is Love, here is Union, and this is SeparationNow let us return, shall we? There is a lot of work to be done

– Javed Akhtar

Qaatil bhi, maqtool bhi donoñ naam khuda ka lete the Koi khuda tha, to voh kahaañ tha, meri kya auqaat, likhooñ?

The murderer and the victim were both invoking the name of GodIf there was a God, where was He? But who am I to write about that?

– Javed Akhtar

Aaj Ye shahr ik sahme hue bachche ki taraahApni parchhaai se bhi darta haiJantari dekhoMujhe lagta haiAaj tyohaar koi hai shaayad

TodayThis city, like a frightened child

Page 16: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

Fears its own shadowCheck the calendarI have a feelingThat today might be the day of a festival

– Javed Akhtar

PAGE 198

Yahi junooñ ka yahi tauq-o daar ka mausamYahi hai jabr, yahi ikhtiyaar ka mausam

This is the season of passion, this the season of the chain and nooseThis is the season of repression, this too the season of resistance

– Faiz Ahmed Faiz

Paaoñ Sarju meiñ abhi Raam ne dhoye bhi na theKe nazar aaye vahaañ khoon ke gahre dhabbePaaoñ dhoye bina Sarju ke kinaare se utheRaam ye kahte hue apne dwaare se utheRaajdhaani ki fiza aayi nahiñ raas mujheCheh Disambar ko mila doosra banvaas mujhe.

Hardly had Ram dipped his feet in the SarayuWhen he noticed dark bloodstains on the banksLeaving the river without washing his feetRam began his resigned journey yet again, ‘The climate of my capital has been vitiatedOn the 6th of December, I was exiled yet again.’

– Kaifi Azmi

Falak ne dekh liya aur zameeñ bhi maan gayiKisi ki aayi savaari, kisi ki jaan gayi

The sky bore witness, the earth too criedSomeone passed in splendour, someone else died

– Josh Malihabadi

Kuch nahiñ to kam se kam khwaab-e sahar dekha to haiJis taraf dekha na tha ab tak, udhar dekha to hai

At the very least, we dreamed of a fresh dawnAt the very least, we imagined something new

– Israrul Haq Majaz

Taqdeer ka shikva be-maani, jeena hi tujhe manzoor nahiñAap apna muqaddar ban na sake, itna to koi majboor nahiñ

Page 17: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

Sunte haiñ ke kaante se gul tak, haiñ raah meiñ laakhoñ veeraaneKahta hai magar ye azm-e junooñ, sahra se gulistaañ door nahiñ

Don’t blame Fate, for it is you who has no desire for LifeYou are unable to write your own destiny? Surely, no one is that helplessWe are repeatedly told that the path from the thorn to the rose is strewn with desolationYet, the power of my passion insists that the garden is round the corner from the desert

– Majrooh Sultanpuri

PAGE 199

Ye hum gunahgaar aurateñ haiñJo ahl-e jabba ki tamkinat seNa ro’b khaayeñNa jaan becheñNa sar jhukaayeñNa haath jodeñYe hum gunahgaar aurateñ haiñKe jin ke jismoñ ki fasl becheñ jo logVoh sarfaraaz thahreñNayaabat-e imtiyaaz thahreñVoh daavar-e ahl-e saaz thahreñYe hum gunahgaar aurateñ haiñKe sach ka parcham utha ke nikleñTo jhoot se shaah-raaheñ ati mile haiñHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñJo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ

It is we sinful womenWho are not intimidatedBy the magnificence of those who wear robesWho don’t sell their soulsDon’t bow their headsDon’t fold their hands in supplicationWe are the sinful onesWhile those who sell the harvest of our bodiesAre exaltedConsidered worthy of distinctionBecome gods of the material worldIt is we sinful womenWho, when we emerge carrying aloft the flag of truthFind highways strewn with liesFind tales of punishment placed at every doorstep Find tongues which could have spoken, severed

– Kishwar Naheed

Page 18: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

PAGE 222

Ke is zameeñ par vujood mera nahiñ faqat ek nishaan-e shahvatHayaat ki shaah-raah par jagmaga rahi hai meri zahaanatZameeñ ke rukh par jo hai paseena to jhilmilaati hai meri mehnatYe chaar deewaariyaañ, ye chaadar, gali sadi laash ko mubarekKhuli fizaaoñ meiñ baadbaañ khol kar badhega mera safeenaMaiñ Aadam-e nau ki humsafar hooñKe jis ne jeeti meri bharosa bhari rifaaqat!

My existence on this earth is not as a mere symbol of lustMy intelligence gleams brightly on the highway of lifeThe sweat that shines on the brow of the earth is but my hard workThe corpse is welcome to this chaadar and these four wallsMy ship will move full-sail in the open windI am the companion of the new AdamWho has won my confident comradeship

– Fehmida Riyaz

Voh apne badan ki qaidiTapti hui dhoop meiñ jalteTele par khadi hui haiPathhar par naqsh bani haiIs naqsh ko ghaur se dekhoLambi raanoñ se ooparUbhre pistaanoñ se ooparPecheeda kokh se ooparAqleema ka sar bhi haiAllah kabhi Aqleema se kalaam bhi kareAur kuch poochhe!

Imprisoned by her bodyShe stands atop a burning hillLike an etching on a stoneLook at this etching carefullyAbove her long legsAbove her breast-swellAbove her contorted wombAqleema has a headLet God address Aqleema too sometimeAnd ask her something!

– Fehmida Riyaz

Mera qadMere baap se ooncha niklaAur meri ma jeet gayi

Page 19: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

My heightSurpassed that of my fatherAnd thus, my mother won

– Ishrat Afreen

PAGE 223

Maati se hum laal nikaaleñ, moti laaeñ jal seJo kuch is duniya meiñ bana hai, bana hamaare bal seKab tak mehnat ke pairoñ meiñ daulat ki zanjeereñHaath badhaakar chheen lo apne sapnoñ ki tasveereñSaathi haath badhaana

We are the ones who extract rubies from the earth, pearls from the sea,All that is of value in this world has been created by us.How long will labour be chained by those who own wealth?Reach out and snatch that which you have always dreamed of.Comrades, lend your hand!

– Sahir Ludhianavi

Ye mahloñ ye takhtoñ ye taajoñ ki duniyaYe insaañ ke dushman samaajoñ ki duniyaYe daulat ke bhooke rivaajoñ ki duniyaYe duniya agar mil bhi jaye to kya hai?

This world of palaces, thrones and crownsThis world of societies that hate humanityThis world that hungers for nothing but wealthEven if one obtains this world, so what?

– Sahir Ludhianavi

Zara mulk ke rahbaroñ ko bulaaoYe kooche, ye galiyaañ, ye manzar dikhaaoJinheñ naaz hai Hind par unko laaoJinheñ naaz hai Hind par voh kahaañ haiñ?

Go, fetch the leaders of the nationShow them these streets, these lanes, these sightsSummon them, those who are proud of IndiaThose who are proud of India, where are they?

– Sahir Ludhianavi

Cheen-o Arab hamaara, Hindostaañ hamaaraRahne ko ghar nahiñ hai, saara jahaañ hamaaraJitni bhi buildingeñ thiñ, sethoñ ne baant li haiñ

Page 20: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

Footpaath Bambayi ke, haiñ aashiyaañ hamaara

China and Arabia are ours, so is IndiaYet we have no home to live in; the whole world is oursThe wealthy have distributed all the buildings among themselvesWhile we are left to take refuge on the footpaths of Bombay

– Sahir Ludhianavi

PAGE 225

Phir chali hai rel, istayshan se lehraati huiNeem-shab ki khaam’shi meiñ zer-e lab gaati huiDaalti behis chataanoñ par hiqaarat ki nazarKoh par hansti, falak ko aankh dikhlaati huiDaaman-e taariki-e shab ki udaati dhajjiyaañQasr-e zulmat par musalsal teer barsaati huiZad meiñ koi cheez aa jaaye to us ko pees karIrteqaa-e zindagi ke raaz batlaati huiAl-gharaz, badhti chali jaati hai, be-khauf-o khatarShaayar-e aatish-nafas ka khoon khaulaati hui

Once again, the train jauntily leaves the stationBreaking the silence of the night with its whispered song.Casting scornful glances on the placid cliffsLaughing at mountains, making eyes at the skyTearing the black fabric of the night to shredsShooting constant arrows of sparks at the palace of darkness.Crushing anything that comes in its wayRevealing the secrets of the evolution of life.Ultimately it flies, fearlessly,Roiling the blood of the poet’s fiery soul

– Israrul Haq Majaz

Teri baatoñ se padi jaati hai kaanoñ meiñ kharaashKufr-o eemaañ, kufr-o eemaañ, ta kuja? Khaamosh-baash!

Your drivel now gives me an earacheInfidelity and faith, infidelity and faith, how long? Shut up!

– Josh Malihabadi

Ban gaya qasr, to pahre pe ko’ee baith gayaSo rahe khaak pe hum shorish-e taameer liyeApni nas nas meiñ liye mehnat-e paiham ki thakanBand aankhoñ meiñ usi qasr ki tasveer liyeDin pighalta hai usi tarha saroñ par ab bhiRaat aankhoñ meiñ khatakti hai siyaah teer liye

Page 21: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

Aaj ki raat bahut garm hava chalti haiAaj ki raat na footpath pe neend aayegiSab utho, maiñ bhi uthooñ, tum bhi utho, tum bhi uthoKoi khidki isi deewaar meiñ khul jaayegi

Once the palace was built, they hired a guardWhile we slept in the dirt, with our screaming craft,Our pulses pounding with exhaustionBearing the picture of that very palace in our tightly shut eyes.The day still melts on our headsThe night pierces hits our eyes with black arrowsA hot air blows tonightIt will be impossible to sleep on the pavementArise everyone! Me. You. And you tooThat a window may open in these very walls

– Kaifi AzmiPAGE 236

Dil na-umeed to nahiñ, naakaam hi to haiLambi hai gham ki shaam, magar shaam hi to hai

Defeated it may be, but the heart does not despairSorrow’s evening is long, but it too will pass

– Faiz Ahmed Faiz

Maiñ zindagi ka saath nibhaata chala gayaHar fikr ko dhueñ meiñ udaata chala gaya

I learnt to walk apace with lifeBlowing all my worries into smoke

– Sahir Ludhianavi

Jebeñ haiñ apni khaali, kyooñ deta varna gaaliVoh santari hamaara, voh paasbaañ hamaara

Our pockets are empty, why else would he abuse us?Our glorious sentry, our protector

– Sahir Ludhianavi

Hum mehnat-kash is duniya se jab apna hissa maangengeEk baagh nahiñ, ek khet nahiñ, hum saari duniya maangenge

When we labourers demand our share of this worldNot just an orchard, not merely a field, we will demand the entire world

– Sahir Ludhianavi

Page 22: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

Ka’ee yaadoñ ke chehre haiñ, ka’ee qisse puraane haiñTeri sau daastaaneñ haiñ, tere kitne fasaane haiñMagar ek voh kahaani hai, jo ab mujh ko sunaani haiZindagi, aa raha hooñ maiñ

Memories have several faces; there are several tales from the pastYou have a hundred stories, and as many parablesBut there is one little story, which is now mine to tell Life, I am on my way

– Javed Akhtar

Mere haathoñ ki garmi se, pighal jaayegi zanjeereñMere qadmoñ ki aahat se, badal jaayegi taqdeereñUmeedoñ ke diye le kar, ye sab tere liye le karZindagi, aa raha hooñ maiñThe warmth of my hands will melt chainsThe sound of my footsteps will change fortunesCarrying these lamps of hope for youLife, I am on my way

– Javed Akhtar

PAGE 236

Maiñ pal do pal ka shaayar hooñPal do pal meri kahaani haiPal do pal meri hasti haiPal do pal meri javaani hai

I am a poet of a brief moment or twoMy story is a passing oneMy life is ephemeralMy youth, transient

– Sahir Ludhianavi

Footpaathoñ ke hum rahne vaale Raatoñ ne paala hum voh ujaale Aakaash sar pe, pairoñ tale, hai door tak ye zameeñ Aur to apna koi nahiñ, aur to apna koi nahiñ

We are the pavement dwellersWe the light that has been sheltered by the nightsOur companions are the sky ahead, the ground beneath our feetAnd none else

– Javed Akhtar

Page 23: PAGE 24 - Columbia University in the City of New York · Web viewHar ek dahleez pe sazaaoñ ki daastaaneñ rakhi mile haiñ Jo bol sakti theeñ voh zubaaneñ kati mile haiñ It is

Bachpan meiñ khele gham se, nirdhan gharoñ ke bete Phooloñ ki sej nahiñ, kaanton pe hum haiñ lete Dukh meiñ rahe, sau gham sahe, dil ye kaheRoti jahaañ, hai swarg apna vahiñ Aur to apna koi nahiñ, aur to apna koi nahiñ

Our childhood spent playing with sorrowOur beds made not of flowers but thornsWe live with unhappiness, suffer sadness, and say with our heartThat our heaven is where we can find bread

– Javed Akhtar

Maiñ har ek pal ka shaayar hooñHar ek pal meri kahaani haiHar ek pal meri hasti haiHar ek pal meri javaani hai

I am a poet for all timesMy story is foreverMy life, unending,My youth, eternal!

– Sahir Ludhianavi

PAGE 238

SAME AS PAGE 236