53
Age of Anbia (A.S) : ADAM A.S 1000 years NOOH A.S 950 SHOAIB A.S 882 SUALEH A.S 586 ZAKARIA A.S 207 IBRAHIM A.S 195 SULEMAN A.S 150 ISMAIL A.S 137 YAQOOB A.S 129 MOOSA A.S 125 ISHAQ A.S 120 HAROON A.S 119 YOUSUF A.S 110 ESSA A.S 95 HAZRAT MUHAMMAD S.A.W. 63 Jis ne tmhare sath burayi ki ho, uske sath tum ehsaan kar k uska badla de do, kyun k ehsaan bad-zubaano ki zubaan band karta he.!

Hazarat Ali a.s Sayings

Embed Size (px)

Citation preview

Age of Anbia (A.S) :

ADAM A.S 1000 years

NOOH A.S 950

SHOAIB A.S 882

SUALEH A.S 586

ZAKARIA A.S 207

IBRAHIM A.S 195

SULEMAN A.S 150

ISMAIL A.S 137

YAQOOB A.S 129

MOOSA A.S 125

ISHAQ A.S 120

HAROON A.S 119

YOUSUF A.S 110

ESSA A.S 95

HAZRAT MUHAMMAD S.A.W. 63

Jis ne tmhare sath burayi ki ho,

uske sath tum ehsaan kar k uska badla de do,

kyun k ehsaan bad-zubaano ki zubaan band karta he.!

Hazrat ALI (R.A)

Hazrat ALI R.A Ne Farmaya:

Kamyabi Hoslon Se Milti Hai,

Or

Hosley Doston Se Milte Hain,

Or

Dost Muqadron Se Milte Hain

Or

Maqadar Insan Khud Banata Hai

Dunyia Main Wo He Log Sarbuland Rehty Hain

Jo Takabur Ke Taj Ko Dor Pheank Dety Hain

(Hazrat Ali)(RA)

Momin Banda Na Zuban Sy Hamla

Karny Wala Hota Hy,

Na Lanat Karny Wala Hota Hy,

Na Badd Go,

Aur Na Gali Bakny Wala.

HAZRAT ALI .R.A

(Tirmizi)

EMAAN "

Or

" HAYA "

2 ese PARINDAY

Hain K Agr In Me Se

1 Urr Jae To Dusra KHUD Hi Urr Jata Hai.

(HAZRAT ALI (RA)

Neend 4 tarha ki hoti he

¤Anmbia ki neend

¤Momin ki neend

¤Munafiq ki neend

¤shetan ki neend

SEDHAY HO KR ANMBIA SOTY HEY.

DAAIN TARAF KARWAT LY KR MOMIN SOTY HEY.

BAAIN TARAF KARWAT LY KR MUNAFIQ SOTY HEY.

OR

ULTY HO KR SHETAAN SOTY HEY.

“ILM” phelany sy barh kr koi ibadat nai..

(Hazrat ALI)(R''A)

Hr Shaks Apni Zuban K

Nichey Chupa Hota Ha

(HAZRAT ALI R'A)

Kismat do pal mein badal sakta he INSAN,

Per jo INSAN ko badal de wo kismat nahin hoti,

(Hazrat ALI)(R''A)

khush mizaji hamesha khoubsorti ki kami ko poora kar deti hai!,

lekin khoubsorti khush mizaji ki kami ko pura nahi kar sakti!.

(Hazrat ALI)(R''A)

Allah k nazdeek sab say ziada gunah gar cheez jhoot bolnay wali zuban hai!.

(Hazrat Ali RA, Nuzhat ul Majalis, page 510)

HAZRAT ALI (KAW) said

Buray Insaan ki Sohbat se Perhaiz karo kyun kay woh Talwar ki Tarha hey Jo Dekhney mein Khobsorat aur Asar mein Khatarnak hai!.

Buraee main kisi ka sath dena Ghatiya pan aur khuda k sath bad diyanti hay!.( Hazrat ALI R.A )

Insaan Bhi kitna Ajeeb Hy,

Jab kisi Cheez se Darta Hy to Us se Dour Bhagta Hay.

Jab ALLAH Sy Darta Hy to Us k aur Qhreeb Ho Jata Hai!.

( Hazrat ALI R.A )

HAZRAT Ali(R.A) :

LOGOO ko USI tarha MAAF karo jaisay TUM KHUDA say UMEED rakhtay ho k wo TUMHAY MUAAF karega.

HAZRAT Ali(R.A) :

Apne dushman ko hazaar mouqay do k woh tumhara dost ban jaye.

Lekin...

Apne dost ko aik bhi mouqa na do k woh tumhara dushman ban jaye.

HAZRAT Ali(R.A) :

"Jiska raabita

khuda ke saath ho wo naakaam nahi hota"

"Naakaam wo

hota hai Jiski

umeedein

duniya se

waabasta hon"

HAZRAT Ali(R.A) :

1) Insaan Apni Toheen Muaaf Kar Sakta Hai Bhool Nahi Sakta!

2) Kabhi Na Girna Kamaal Nahi Bal'k Gir K Sanbhal Jaana Kamaal Hai.!

Hazrat Ali R'A se ek yahudi ne sawaal kiya?

Wo konse 4 jandar hain jo baghair maa k peda howe?

Duniya mein sans be liaa aor chale bhi hain?

Hazrat Ali R'A ne farmaya

1 HAZRAT ADAM A.S

Jo baghair maa k peda howe

2 HAZRAT SALEH R'A KI OUNTNI

Baghair maa k peda howi

3 HZRAT MOSA R'A KA ASA MUBARIK

4 HAZRAT ISMAIL R'A KI QURBANI K WAQT

JANNAT SE AANE WALA DUMBHA

Baghair maa ke paida howa

pLeAse Spread It

It's Sadaq-e-Jaria.....

Gussy ke ek lamhaa tumhain hazaar baar sharminda hoony say bachaa laitaaa hey hazrat Ali .R.A

Dolat miti ke trah hoty hey or miti ko paaon ke nechy rehna chahye agr sir pe charhaogee to Qabar

ban jaaegi or Qabar zinda insanoon ke lyee nahi hoti

Hazrat Ali .R.A

khush mizaji hamesha khoubsorti ki kami ko poora kar deti hai!,

lekin khoubsorti khush mizaji ki kami ko pura nahi kar sakti!.

(Hazrat ALI) (R.A)

Hay koi aisaa jis ko me buhat he piyaara Qisaa read karwaaon hazrat umer farooq .R.A. KA to pm karooo mjhy

Agar aik gali tum ghussy ya mazaq main dety ho tu apni qabar me ek bachun peda kar liyaa jataa he

Hazrat Ali(R.A)

Achi zindagi guzarney ke 2 tareekhay hain!.

¤ Jo pasand hai usay hasil kr lo!

ya Phr

¤ Jo hasil hai usay pasand kr lo!. Yaani Qhina’at ikhtiyar karo!

(HAZRAT ALI R.A)

Allah pak ke khoof say girny walaaa aaansoon beshak chotaaaa he hoooo lekin us me itny taaqat hoty hey ke woh SAMANDAR ke barabar gunaah mitaa daitaaa he

¤(HAZRAT ALI )(R.A)¤~

“Agr koi tumhara dil dukhaey to naraz na hona Qyoun K Qanoon Qudrat hay k jis darakht phall ziada meetha phal hota hay usay log ziada patthar marte hain!

Naikon ki suhbat ikhtiar karo nek ban jao gai, buron ki suhbat se parhaiz karo badi se dor ho jao gai

(Hazrat Ali (R.A)

Bay shak dunya aor akhrat ki misal

aisi ha jasay 1 shaks ki 2 bvian(wives)

hon 1 ko razi karta ha to dosri rooth

jati hai!

HAZRAT ALI(RA)

Jahan Sadaaqat scchaae aur Khuloos Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka Hath Barhao Warna Tumhari TANHAEE Tumhari Behtreen Saathi Hai.

( Hazrat ALI R.A )

“Ebadat aesi kro jis se tumhari ROOH ko maza aey QYOUN k jo Ebadat dunya mai maza na de wo Akhrat mai kia jAZAH degi( Hazrat ALI R.A )

“Golden Words”

“Her INSAN ki izzat aur uss sy mohabat kro,Kion k her INSAN k ander KHUDA ki koi na koi sift zror mojood hoti hai”

( Hazrat ALI R.A )

4 Batain Elim Ka NIchour Hain,

1.) ALLAH Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zaroret Hay!.

2.) ALlah Ki Nafermani Itni Karo Jitna Allah K Azaab Per Saber Ker Saktey Ho!..

3.) Dunya K Liye Itna Amal KAro Jitna K Tumhain Dunya Main Rehna Hai,,

4.) Aakhrat K Liye Itna AMal Karo Jitna K Tmhain Wahan Rehna Hain….!!!

( Hazrat ALI R.A )

———–

“Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,

yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaahon ki saza foran kyun nahi deta..”

( Hazrat ALI R.A )

"Agar Tum Pahaar Se Girey To Ye Tere Liye Itna Nuqsan-Deh Nahi Jitna Ke Tu Kisi Ki NAZRON Se Gir Jaye" "HAZRAT Ali R.A"

Khoobsorati kaproun se nahe ilm o adab se hoti hay

Hazrat ALI (R.A) farmaya

Tumhari woh khamoshi jis ke baad tum se baat karney ki khawahish paida ho jaiey, tumharey uss kalam sey behtar hay jis ke baad tum ko khamosh ker diya jaiy.

Hazrat ALI (R.A) farmaya

Jo tumhain khushi mein yad aaiy, samjho tum us se muhabbat kartey ho or jo tumhain gham mein yad aaiy to samjho woh tum se muhabbat kerta hay

Hazrat ALI (R.A) farmaya

Jo Dukh day Us se Taluq na rakho aur jis se Taluq na rakho usay dukh na do.

Hazrat ALI (R.A) farmaya

Hazrat ALI (R.A) farmaya

"Agar kisi ko ye

ghuroor hy k Wo tum

se jitni martaba naraz

ho tou tum usay mana

lo gey tou behtr hy tum

uska ghuroor tuutney

na do "

Hazrat Ali Raziallahu Anhu said,

"kisi bhi shaks se tum narazgi ka lamha itna taweel na kero woh tumharay beghair hi jeena seekh lay"

Hazrat Imam Jaffar (R.A)

NE farmaya

"Jab Apne WALDAIN Ko

Koi Cheez Do Tou Is

Trha Jese Koi

GHULAM Apne AAQA k

Samny Paish Krta Hy"

Jo Hasad Tarq Kar deta hai

Log us se Muhabbat Karnay Lagtay Hain

Hazrat Ali (Razi-Allah-u-Ta-aala Anho)

Dil Mai Takabbur Paida Karnay Wali Naiki Se

Wo Gunah Behtar hai Jo Gunahgar k andar Nidamat Paida Karay

Hazrat Ali (R.A)

JHOOTAY KI EK YE B ZILAT HAI K WO US SHAKS K LIYE BARAY ARAM

SE KASAM KHA LETA HAI JO US SE QASAM KA MUTALBA NHI KRTA

HAZRAT ALI (R.A.)

"DIL ko aazad bhi chor dia karo,khush kun nukte bhi socha karo,kyunke jism ki tarha DIL bhi thak jata hai"

(Hazrat Ali.Karam Allah Wajho)

Hazrat Ali(R.A(AS) Said

"Zarurat K Liye ALLAH Ko Pukarne Wala

2nu Halton Mein ALLAH Ko Chor Deta Ha

Zarurat Puri Ho Jaye Tab B

Aur

Zrurat Puri Na Ho Tab B."

"agar Jahil Khamosh rehtay to

Logo'n k Darmiyan kabhi ikhtilaf paida na hota"

Imam Mohammad TAQI AS

LOG piyar k liey hotey hn or cheezen istemal k liey.baat tb bigarti hy jb cheezon se piyar kia jaey or logon ko istemal kia jaey.

(Hazrat Ali Razi ALLAH-o-Ta'ala Anho)

Duniya main khobsurat dil talash karo cheary nahi kyon k khobsorat cheary to bhot hain lakin khobsurat dil bhot kam.

(Hazrat Ali R.A)

Dushman chahe jitna bi acha dost bn jaye us pe aitbar na karna,

Q K, Pani ko chahe jitna bhi garam kar lo,

Aag bhujane k liye kafi hota ha.

Hzrt Ali(R.A)

Hazrat Ali (R.A)

Se pocha gaya k admi bura kab banta he?

Ap ne fermaya:

“Jab wo apne ap ko acha samajne lagey”.

“Ghuror aur ghaflat ka nasha sharab

se bhi zayada hota he,

jo iss nashey mein mubtila ho jata he

wo jaldi hosh mein nahi ata”.

Hazrat Ali (R.A)

Hazrat Ali (R.A) ne Farmaya: ” Mujhay 2 cheezain bohat mehboob hain. Sakht sardi me fajar ki namaz or sakht garmi k rozay.”

Hazrat Ali (R.A) ne farmaya: “Hamesha Dua mangtay raho Q K Mumkin or Na mumkin to sirf hamari soch mein hai ALLAH k lie tou kuch bhi na mumkin nhi hai….

Muaaf karna sab se ziada usey zeib deta hai jo saza dene par qadir ho.

(HAZRAT ALI KARAM ALLAH WAJHO)

"Baarish ka qatra Seepi or Sanp dono mai girta hai, jab ke Sanp ussay Zehar bana deta hai or Seepi usay Moti.

Jis ka jaise 'Zarf' waisi uss ki 'Takhleeq'"

(HAZRAT ALI KARAM ALLAH WAJHO)

Jub tum dunya ki muflisi se tung aajao aur rizq ka koi rasta na niklay

Tu sadqa de ker ALLAH se tijarat karo.

HAZRAT ALI (R'A)

Insan Ki Fitrat Us K Chotay Choty Kamon Se Zahir Hoti Hai,

Q K

Baray Kaam Wo Hamesha Soch Samaj K Aur MansUba Bandi K Sath He Kerta Hai.

HAZRAT IMAM HASSAN(R.A)

Ache Logo’n Ki Sohbat Se Bhalai Haath Aati Hy,

Jese Hawa Jab Khushbudar Cheez K Paas Se Guzrey

Tou

Khushbudar Ho Jati Hai…

Hazrat Ali (R.A)

” Nadan Log Dulat K Liye Dil Ka Chain Luta Dyte Hain

Or

Danish’Mand Dil K Chain K Liye Dulat Luta Dyte Hain”

Hazrat Ali R.A

Hazrat Ali (R.Z) Ne Arz Kiya: Loogo Ko Is Tarah Maaf Karo Jaise Tum Allah Ta'alah Se Umeed Rakhte Ho k Wo Tumhe Maaf Kare.

Hazrat Ali (R.Z) farmaya: Tum Kisi Ko Chaho Or Wo Tumhe Thukrade Tou Ye Os Ki Badd Naseebi Hai Or Os K Baad Tum Os Ko Zabardasti Apnana Chaho Tou Ye Tere Nafs Ki Zillat Hai....

1. Jo log khud gharz hotay hain wo kabhi achay dost nhi hote.

(Hazrat Abu Bakar Siddiqui R.A)

2. Jo shakhs apne khulus ki qasmain khaye us par aitmaad na karo.

(Hazrat Umar R.A)

3. Muhabbat sab se karo magar aitbaar chand logon par.

(Hazrat Usman Ghani R.A)

4. Achay logon ki aik khubi ye bhi hoti hai k unhain yaad rakhna nhi parta wo yaad reh jate hain.

(Hazrat Ali R.A)

“HAZRAT ALI (R.A.) says,”

Jis ko tum chaho,

Us ko kabhi aazmana mat,

Qk agar wo bewafa nikla

To Dil tumhara hi tootay ga

Apne "JISM" Ko Mat Sanwar Isse To Mitti M Mil Jana Hai

Sanwaarna Hai To

Apni "ROOH" Ko Sanwaar Aye! Ibn-E-Aadam, Isse To "RABB" K Pass Jana Hai

[HAZRAT ALI R.A]

SABAR

Ki

2 Sortain Hein

1- Jo Na-Pasand Ho Usay

“BARDASHT” Karna

2- Jo Pasand Ho Uska

“INTIZAR” Karna.

(Hazrat Umar R.A)

Jab Me

Dastar Khuaan Pr 2 Rang K

Khaney Dekhta Hoon

Tu

Laraz Jata Hoon

K

Aaj Phr Kisi Ka

Haq Mara Gaya Hay

[HAZRAT ALI R.A]

Jis Darakht Ki Lakrri Naram Ho Gi

Us Ki Shaakhain Zyada Hon Gi

Bus Naram Tabiyat Or

Naram Guftaar Ban Jao

Taa K Tumharay Dost Zayada Hon

Hazrat Ali(R.A)

Hazrat ALI (R.A) Se Sawal Kya Gaya

K Namaz Me 2 Sajde Q Hain?

Apne Irshad Farmaya:

Namazi Jab Sajda-E-Aval K Liye

Khaak P Peshani Rkhta He

To Us Bat Ki Traf Ishara He

K Miti Se Paida Hua He,

Or Jb Sir Ko Sajde Se Uthata He

To Is Bat Ki Traf Ishara He

K Zamin Se Aya He.

2sra Sajda Is Bat Ki Alamat He

K Dobara Zamin Me Jaega

Or Miti Me Badal Jaega

Jab Dobara Sajde Se Sir Uthata He

To Iska Matlab

Ye He K Dobara Qayamat Me Zinda Kya Jaega.

Subhaan ALLAH

Allah Ne Farishto’n Ko Sirf AQAL Di Hy

Magr Khawahishat Nahi De Hain.

Aur Janwaroo Ko Khawahishat De Hai

Magr AQAL Nahi De Hy

Aur Insan Ko Ye Dono Chizain De Hain.

Lihaza Jis Ki AQAL Us K Khawahish Pe

Galib Aajaye Wo Farishtoo Se Behtar Hai.

Aur Jis Ki Khawahish Us Ke AQAL Pe

Galib Aajaye Wo Janwar Se Badtar Hy.

(HAZRAT )(ALI .R.A)

"Ae Logo'n !

Tum Kis Dunya Per

Fakhar Kerty Ho ?

Jahan Behtreen

Mashroob Makhi Ka

Thook (Shehad) Aur

Behtreen Kapra Keeray

Ka Thook (Resham) Hy"

~ Hazrat Ali R.A ~

"Dunya me kbhi kisi

achy insaan ko talaash

mat kro

Bal k

Khud achy ban jao,

Ho skta hy k

Tmhary is amal sy

kisi aur ki talaash

khatam ho jaye ..."

Hazrat Ali R.A

Apni Jawani k Dhokey

Mein Na Aana

Kyun k

Ye Anqareeb Tujh Se

Le Li Jaye Gi ...

Hazrat Ali (R.A)

HAZRAT ALI R.A

Ne Farmaya..

Agar Tumhain Ek

Doosre Ki Niyyaton

Ka ilm Hota Tou Tum

Ek Doosre Ko Dafan

Bi Na Karte.

Hazrat ALI(R.A) Farmatay Hain

Burai ki Misaal Aisay Hai Jaisay Pahar Say Nechay Utarna

Aek Qadam Uthao Tou Baki Uthtay Chalay Jatay Hain

Or

Aachai ki Misaal Aisay Hai Jaisay Pahar Par Charhna

Har Qadam Buhat Mushkil Hota Hy

"Agar tum Mout ki Raftar ko Dekh

Laity to tum Zaroor Ummeedo'n

Or Umango'n Sy Nafrat krty

Or hrgiz in Me Maghroor Na hoty"

HAZRAT ALI (R.A)

Logo'n K Khauf Se Haq

Baat Kehne Se Na Ruko

Kyun k

Na Tou Koi Maut Ko

Qareeb Ker Skta Hy

Aur

Na Koi Rizq Ko Duur

Kr Skta Hy ...

Hazrat Ali (R.A)

Agar Tawak'kal Seekhna

Hy Tou Parindo'n Se

Seekho

k

Jab Wo Shaam Ko

Ghar Wapis Jatey Hyn

Tou Inki Chonch Mein

Kal k Liye Koi Dana

Nahi Hota ...

Shaikh Sa'adi .R.A

Sabar aik aisi sawari hay jo sawaar ko kabhi girnay nahi daiti..

HAZRAT ALI (R.A)

Qasai aawaz laga rha tha k taza gosht hy lelo.

Wahan se Hazrat Ali (r.a) ka guzar hua

tou us ne Hazrat Ali (r.a) ko b kaha

k Maula acha gosht hy aap b le jaye'n.

Hazrat Ali(r.a) ne kaha aaj meri jeb ijazat nahi deti, Qasai ne kaha main aap se udhar kr skta hon.

Iss pr Hazrat Ali(r.a) ne 1 hikmat se labrez

jumla kaha Aap ne farmaya

"YE UDHAR MAIN APNE PAIT SE KYUN NA KR LOO'N JIS KO MAIN JANAT MEIN IS SE BEHTER GHIZA KHILA SAKTA HOON"

* Subhan Allah *

Hazrat ALI (r.a) ne farmaya k:

"Main puri zindgi me sirf ek raat sukon se soya hon"

Pucha gaya "Wo kon c?"

Hazrat ALI(r.a)ny frmaya:

"Jis din AAP(S.A.W) ne frmaya k:

'Ae ALI kal tum ne maal-e-ghanimat taqsim kr k aana hy'

Q k

Sirf us raat mjhy yaqin tha k main subha zinda uthon ga"

SUBHANALLAH

Dost Ki Koi Baat Buri Lage

Tou Khamosh Ho Jao

Agar Wo Dost Hy Tou

Samajh Jaye Ga Aur Agar

Wo Na Samjhy Tou Tum

Samajh Lena k Wo Tumhara

Dost Nahi ...

Hazrat Ali (r.a)

Kabhi b Kamyabi ko dimaagh

me aur Nakami ko dil mei jaga

na dena

Q k

Kamyabi dimaagh mei takabur

aur Nakami dil mei mayusi peda

kr deti hy

Hazrat Ali (r.a)

Zindagi ko ZARURIAT

Mein Rakho

KHWAISHAT Ki Taraf Na

Le Jao

Zaruriyat Faqiro'n ki b

Puuri Hoti Hyn

Aur

Khwaishei'n Badshaho'n

Ki b Baqi Reh Jati Hyn

Hazrat Ali r.a

"Galat baat par Gussa aajana sharafat ki nishani hy,

Lekin usi Gussey ko pee jana

"M0MIN" ki Nishani hy."

>>Hazrat Ali R.A<

Hazrat ALI (R.A)

se Ksi shakhs Ny Pocha:Main Buhat Koshish Krta hoon "Namaz-E-Subah"

Parhon Mgr Uthta Nahi?

HAZARAT ALI (R.A) ne Farmaya,

Yeh Nend Ki Waja Nahi Balky Tum

Jo Saray Din May "Gunah"

Krty Ho wo Tmhare

"Garda'an" Me Tok,

Hathon me Hathkari Or Paon Me

Bairiyan Bandh Kr Tmhy Uthney Nhe Daitay.

Insaan ko Bolne k liye Aik Saal lagta hai.

Par kon Sa lafz kahan Istemal karna Chahiye

ye Seekhne k liye Pori Zindagi Lag jati hai.

Hazrat Ali (R.A)

"Jis Trha Shabnam k

Qatre Murjhaye Huey

Phool Ko Taazgi Bakhste Hyn ,

Usi Trha Ache Alfaaz Mayus

Dilo'n Ko Roshni Bakshte Hyn"

(Hazrat Ali R.A)

Hazrat Ali (R.A) Se Poocha Gaya

"Insaan Ko Kis Qadar

Ikhtyar Hy?"

Aap (R.A) Ne Farmaya:

"Apna Ek Pao'n Uthao"

Saai'l e Utha Lia

Aap (R.A) ne Phr Farmaya

"Dussra Bhi Uthao"

Saai'l Ne Arz Kia

"Aise Tou Nhi Ho Skta"

Tou Phr Aap (R.A) Ne

Farmaya k

"Bas Ye Is Trha Hy

(Yani Na Pura Majbur

Hy , Na Pura Mukhtar) "

Hazrat ALI (R.A) se kisi ne pocha “ILM” kia hy? To Ap ne farmaya! Agr koi tm pr zulum kre to usy Maaf krdo Agr taluqat tory to Jor lo Agr koi tumhe mehrom kre to usy Nawaz do Agr kisi se intaqam lena ho to Darguzar krdo Ghusy me esi bat na kro k bad me Nadamat ho Yehi “ILM” hy.

Mujhe Dua Qabool hone ki fikar nahi. Mujhe sirf Dua Maangne ki Fikar hai. Jab mujhe Dua Maangne ki Toufeeq ho gai tu Qaboliyat bhi us k sath hasil ho jae gi. HAZRAT UMAR FAROOQ (Radi allahu anhu)

1 Qabar ki Takhti Par Likha Hua Tha !!!!” Ay Raah-e-Guzar Par le Fathia Mere Wasatey” Kal Tu Bhi Majboor ho ga is Dua k wastey”.

Hazrat Ali Radi allahu anhu ne Frmaya:- Sb Se Bari Bahaduri “Sabr”Krna Hy, Sb Se Bari bala “Na Umidi”hy Sb Se Bari Tafrih “Masrufiyat” hy, Sb Se Bara Ustad “Tajrba”hy, Sb Se Barra Fayeda”Nek OLad”hy, Sb Se Barra Tuhfa “Dr’Guzr”Krna hy, Sb Se Barra Srmaya”Khud Etmadi”hy & Sb Se Barra Raz”Mout”Hy.

Hazrat Ali SAYS

TUMHARE 3 DOST HAIN

1 TUMHARA DOST

2 TUMHARAY DOST KA DOST

3 TUMHARAY DUSHMAN KA DUSHMAN

TUMHARAY 3 DUSHMAN HAIN

1 TUMHARA DUSHMAN

2 TUMHARAY DUSHMAN KA DOST

3 TUMHARAY DOST KA DUSHMAN

Yeh zindagi 2 din ki hai

1 din tumharay haq mai aur

1 din tumharay mukhaalif

Jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.

HAZRAT ALI (R.A)

Aazmaye Hue Ko Azmana

Bewakufi He.

( Hazrat Ali(R.A)

Logon Ki

Zaroraton Ka

Tum Se Wabasta

Hona Tum Per

Allah Ki

Enyat Hai.

(Imam Hussain(R.A)

Hazrat Ali(R.A) FARMAYA,

” IKHLAQ KI QEEMAT KUCH NHI DAINE PARTI MAGAR USS SE HR CHEZE KHARIDI JA SAKTI HAI “

“Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam ho,Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aai howe DOST ko ganwa de”( Hazrat Ali R.A )

Aik Shakhs Ne Hazrat Ali R-A. Sey Poocha,

Q: Qarib Kya Hai?

A: Qyamat

Q: Or Qareeb Ter?

A: Maut

Q: Ajeeb Kya HAi?

A: Duniya

Q: Aur Ajeeb Tar?

A: Talib-e-Duniya

Q: Wajib Kya Hai?

A; Toba

Q: Or Wajib Tar?

A: Gunah K Forun Bad Toba

Q: Mushkil Kya Hai?

A: Qaber Mein Utrna

Q: Or Mushkil Tar?

A: Amal K Bagair Utrna

*******SUNEHRE AQWAL*****

1: JO Shakhs ALLAH se Darta hai wo kabi badla nahi leta.

2: Hasad karne wala Maut se pehlay Mar jata hai.

3:Kisi par Aitemaad na karo Jab tak Usay gusse main na daiko.

4: Maut ko yaad karna Nafs ki Tamaam baimayoun ki Shifa hai.

5: Khushi Insaan ko itna nahi Sikhati jitna Gham.

6: Naik banne ki kosh...ish aisy karoo jaisy haseen banne ki koshish karty ho.

7: Kisi Se melo tu aisy melo k wo Dubara app se milne ki tamana kare...

kisi ko parkho mat kiunk is sey rishta kamzoor ho jata hai.

(Hazrat Ali R.A.)

********************

**********Hadith *****

Hazrat Aiyesha (R.A) ki Mother Hazrat Romana (R.A) Farmati hain keh main Aik Din Nemaz parr rahi ti tu main nemaz hilne lagi. Hazarat Abu Bakkar (R.A) ne muje Diaka or Es Zoor se Danta k main nemaz torne k Qareeb hoye. Phir Farmaya K Mohammad S.A.W.W ka Irsahad hai k nemaz main Saidhy karray raho ...Yahood ki terha hilo nahi. Kionke Nemaz main Saidhy kharey rehna Nemaz k Qaboliyat ki Juz hai.

Kisi Nay Hazrat ALI (R.A) Say Pucha : DOST Aur BHAI Mein Kiya Farrq Hai ? AAP Nay Farmaya : BHAI Sona (GOLD) Hai Aur DOST Heera (DIAMOND) Hai . Us Nay Kaha k Aap R.A ne dost ko bhai par tarjeeh kiu di?

Hazrat Ali R.A ne farmaya: Agar Sona (Gold) mai darrar par jaye to to usay phigla kar wapis usi halat mai laya ja sakta hai

magar Heeray (Diamod) mai agar darar par jaye to usay kabhi khatam nhi kiya ja sakta ..

********************

HAZRAT Ali(R.A) :

''Do tarah se cheezen dekhne me Chotti nazar aati hein"

Ek dooor se..,

or

Doosra gharoor se..."

" Jab Tumhe Apne Ache Kaam Se Maharrat Aur Bure Kaam Se Ranj Hone Lage To Samjho Ke Tum Momin Ho Gaye.....

HAZRAt ALI(R.A)

********************

"Nadaan log dolat ke lye dil ka chain luta dete hen or danishmand dil k chain k lye dolat luta dete hen."

HAZRAt ALI(R.A)

********************

(A Dua of Hazrat Ali r.a)

"Meray Allah,meri izzat kay liye yehi kafi hy k main tera banda hon, Or meray fakhar kay liye yehi kafi hy kay tou mera parwardigaar hai, Tou wesay he hy jesa mn chahta hoon, Bas tou mujh ko waisa bna dey jesa tou chahta hy"!

(Aameen)

********************

"Jab Haq Per Rehte huway Tumhari Mukhalifat Had Se Barhne Lagay,

tou Samajh Lo K ALLAH Tumhain Koi Buland Muqaam Denay Wala Hai."

Hazrat ALI (R.A)

********************

"GHAREEB ki Madad karo, uska dil na dukhao

aor uska Ehsas Karo,

Q K GHAREEB Hone Mein Waqt Nahi Lagta..

(Hazrat Ali (R.A)

********************

Farman-e- 'HAZRAT ALI' (R.A) hy k

Sb se barri bahaduri 'sabr' krna hy

Sb se barri bla 'Na umidi'

Sb se barri tafrih 'Masrufiyt'

Sb se barra ustad 'Tajrba'

Sb se barra faida 'Nek olad'

Sb se barra Tuhfa 'Dr'guzr' krna

Sb se barra srmaya 'khud etmadi'

Or

Sb se barra raz 'Mout' hy

********************

"Logon k dilon mein apna maqam is tarah bana lo k

mar jao tu tumharay lye DUA kren aur

zinda ho tu tum se milne ko tarsa kren.

(Hazrat Ali R.A)

********************

Lambi umeedoon se perhaiz kia karo, kyon k yeh dosri naimtoon ko

Tumhari nazar mai haqeer bana deti hain aur tum unki shukar guzari nahi kertay.

HAZRAT ALI (R.A)

********************

tum acha karo aur zamana bura samjhay , yeh tumharay haq mai behter hai

bajaye is k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay

HAZRAT ALI (R.A)

********************

Yeh zindagi 2 din ki hai

1 din tumharay haq mai aur

1 din tumharay mukhaalif

Jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.

HAZRAT ALI (R.A)

********************

Tum Gulab Ka Phool Ban Jao q kay Yah Phool Us Kay Hathoon main bhi KUSHBU chor jata hai jo issay masal k phenk deta hai.

HAZRAT ALI (R.A)

********************

Baron ki ezat es lye karta hoon kiun k unki nekiyaan mujh se ziyada hain...aur choton se pyaar es lye karta hoon kiun k unke gunah mujh se kam hain.

(HAZRAT ALI)(R.A)

********************

Kabhi Apne dost ki sachai ka imtehan mat lo, kya pata us waqt wo kisi majboori me ho aur tum ek aacha dost kho betho..

(HAZRAT ALI(R.A)

********************

Qabar 4 awazien deti hai..

1.yahan andhera hai roshni lana.

2.kaak hon bistar lana.

3.tanhai hai dost lana.

4.Saanp bichoo hain dawa lana

~HAZRAT Ali R.A):~

********************

Agar rizq

aqal-o-danish se milta

tou jaanwar aur

bewaqoof zinda hii na

rehte …

(Hazrat Ali( R.A)

********************

Mujhe iss Dunia se kya lena jis ke halaal main hisab

aur

haram main azab hae.

(Hazrat Ali( R.A)

********************

Hazrat Ali [R.A] Ka Farman

"Saza Dene Main Der Karo Yahan Tak K

Tumhara Ghussa Thanda Ho Jaye…"

********************

"hamesha sach bolo ta k baad main tuje qasam khana na pare"

"Hazrat Ali RA"

********************

Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q k agar tu Tang-dast howa to ye tujhey Chorh dengay, our agar tu Dolat-mad huwa tu tuje se Hasad Krenge.

"Hazrat Ali. R.A"

********************

Aftab (Sooraj) gawah rehna ke hamessah :ALI" ne tujhey ubhartay dekha hai magar too ne "Ali" ko kabhi sotay our Ibadat-e-ilahi se ghafil nahi payA.

"Hazrat Ali. R.A"

********************

"Ager kisi ko ache tareeke se phechan-na hai to us se mulakat karo kiun k insaan apni zibaan k neeche chupa howa hota hai."

"HAZRAT ALI (R.A)"

********************

"Bura dost koiley ki tarah hota hai .jab garam hota hai to haath jala deta hai aur jab thanda hota hai to haath kaale kar deta hai."

"HAZRAT ALI (R.A)"

********************

"zindagi ki asal khoubsurati ye nahi k aap kitney khush hain, balke zindagi ki real khoubsurati to ye hai ke doseray aap se kitnay khush han".

Hazrat Ali(R.A).

********************

Hazrat Ali (R.A) Ne Farmaya:

Jisne Kisi Ko Akele Me Nasihat Ki

Usne Usse Sanwar Dya.

Or Jisne Kisi Ko Sb K Samne Nasihat Ki

Usne Usko Mazed Bigar Dya

Hazrat Ali (R.A) Ne Farmaya:

********************

Woh Gunah jis ka tumhe ranj ho

Allah k nazdik us neki se behtar hai

ji se tum mein ghuroor peda ho jaye

"Hazrat Ali. R.A"

********************

"Ikhtiar, Taqat Aur Dolat Milne Par Logg

Badaltay Nahi, Balkay Be-Naqab Hote Hain."

"Hazrat Ali (R.A)"

********************

Agar kisi ka zarf aazmana ho to zyada izzat do..

woh aala zarf hua to aapko aur zyada izzat dega

aur kam zarf hua to khud ko aala samjhe ga

Hazrat ALi (RA)---

********************

6 cheezein amal ko zaya karti hein

1. logon ke aaib talash karna

2. Dil ki sakhti

3. Dunya ki mohabbat

4. Haya ki kammi

5. Lambi umeed.

6.. Zulm

Hazrat ALi (RA)---

********************

3 cheezein insaan ko Allah se door karti hein

1. apne aamaal ko zyada samajhna

2. apne gunhaoun ko bhool jana

3. apne aapko sab se behtar samajhna

Hazrat Ali (RA) ---

********************

5 cheezon ki 5 jaga par hifazat karo

1... mehfil mein zubaan ki

2. bazaar mein aankh ki

3. namaz mein dil ki

4. dastarkhwan mein pait ki

5. nigah mein haya ki

Hazrat Ali (RA)---

********************

Mere Allah, meri izzat ke liye yehi kafi hai

ke mein tera banda hun aur mere fakhar ke liye

yehi kafi hai ke tu mera parwardigar hai..

tu waisa he hai jaisa mein chahta hun..

bas tu mujh ko waisa bana day jaisa tu chahta hai

Hazrat Ali (RA)---

********************

Apni zubaan ki taizi uss maa par mat aazmao

jis ne tumhein bolna sikhaya

Hazrat Ali (RA)---

********************

Koshish karo ke tum dunya mein raho

dunya tum mein na rahey kyun ke

kashti jab tak paani mein rehti hai khoob terti hai

lekin jab paani kashti mein ajaye to woh doob jati hai

Hazrat Ali (RA)---

********************

Quotes of Hazrat Ali(R.A)

1)Tumhari woh khamoshe jis ke baad tumsey baat karney ke khawahish paida ho jaiey,tumharey uss kalam sey behtar ha jis ke baad tumko khamosh kar diya jaey.

2)Khoobsorati kaproun sey nai ilm o adab sey hoti ha

3) har shakhash kei qeemat wo hunar ha jo uske ander ha

Hazrat Ali(R.A)

********************

Barish ka qatra seep aur saanp dono ke munh mein girta hai..

seep ussey moti bana deta hai,

saanp ussey zehr bana deta hai..

jiska jaisa zarf waisi uski takhleeq

Hazrat Ali (RA)---

********************

Momin woh nahin jis ki mehfil paak ho,

Momin woh hai jis ki tanhaii paak ho

Hazrat Ali (RA)

********************

Mujhe jannat say zyada masjid mein bethna acha lagta hai

kyun ke jannat mein mera nafs khush hoga,

jab ke masjid mein mera rabb khush hoga

Hazrat Ali (RA)

********************

Jab gunahon ke bawajood Rab-ul-Izzat ki naimatein

musalsal tumhein milti rahein to hoshiyar ho jana

ke tumhara hisaab qareeb aur sakht tareen hai

Hazrat Ali (RA)

********************

Agar kisi ka banna chahtey ho to poori haqeeqat say ban jao

warna apni zaat mein aisi haqeeqat paida kar lo ke

koi haqeeqat mein tumhara ban jaye

Hazrat Ali (RA)

********************

Insaan dukh nahin deta, insaanoun say

wabasta umeedein dukh deti hein

Hazrat Ali (RA)

********************

Kisi ko tum chaho aur woh tumhein thukra day,

Yeh uski badnaseebi hai. Koi tumhein na chahey

aur tum usse zaberdasti apna banana chaho,

ye tumhare nafs ki zillat hai

Hazrat Ali (RA)

********************

Din ki roshni mein rizq talash karo aur

Raat ki tareeqi mein usse talash karo

jo tumhein rizq deta hai

Hazrat Ali (RA)---

********************

Hazrat ALI(R.A) nay farmaya,

"Maray nazdeek apnay dost pr 20 dirham kharach krna 100 dirham faqeeron main taqseem krnay say behtar ha.",

********************

Jab aankhein nafs ki pasandeeda cheezein dekhnein lagein

to dil anjaam say andha ho jata hai

Hazrat Ali (RA)

********************

Ikhtiyar, taqat aur daulat milne par log badaltey nahin

balkey be-naqaab ho jatey hein

Hazrat Ali (RA)---

********************

"Akhlaaq wo cheez hai jis ki qeemat kuch nahi dena perti magar is say har cheez khareedi ja sakti hai".

HAZRAT ALI (R.A)

********************

"Tanhai Mein Gunaah say Bacho,

Q k

Iska Gawaah Allah Ta'alah khud Hai "

Hazrat Ali (R.A)

********************

"Ae khuda jab mene tujh se na manga tab b tu ne mujhe ata kia,

To ye kaise mumkin hy k mai tujh se mangu or tu ata na karey"

HAZRAT ALI (R.A.)

********************

Logo ko haq se pehchano'Haq ko logon se nhi (HAZRAT ABUBAKAR R.A.) Tum jis se nafrat krte ho us se hoshiyar rho (HAZRAT UMER R.A.) Asi bat na kaho jo mukhatib ki samajh se bahir ho (HAZRAT USMAN R.A.) Fursat k oqat ko galat mat jano ye asey badil hai jo ja kr phir nhi aate

(HAZRAT ALI R.A.)

********************

Eik shakhs ne Hazrat Ali (R.A) se poocha.us shakhas k question aor Hazrat Ali (R.a) k answer is tarah thay.

Q. qareeb kya hae

A.Qayamat

Q. aor qareeb tar

A. Maot

Q. Ajeeb kya hae

A. Dunya

Q. aor ajeeb tar

A. talib-e-dunya

Q. wajib kya hae

A. Toba

Q. aor wajib tar

A. Gunah k foran baad toba

Q. Mushkil kya hae

A. qaber main uterna

Q. aor mushkil tar

A. amal k beghair uterna

Reply With Quote