2
aah ko chaahiye ik umr asar hone tak aah ko chaahiye ik umr asar hone tak kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak daam har mauj me.n hai halqaa-e-sad_kaam-e-nahang dekhe.n kyaa guzare hai qatare pe gauhar hone tak aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab dil kaa kyaa rang karuu.N Khuun-e-jigar hone tak ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin Khaak ho jaaye.nge ham tum ko Khabar hone tak partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim mai.n bhii huu.N ek inaayat kii nazar hone tak yak_nazar besh nahii.n fursat-e-hastii Gaafil garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak Gam-e-hastii kaa 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj shammaa har rang me.n jalatii hai sahar hone tak baaziichaa-e-atfaal hai duniyaa mere aage baaziichaa-e-atfaal hai duniyaa mere aage hotaa hai shab-o-roz tamaashaa mere aage ik khel hai aurang-e-sulemaaN mere nazadiik ik baat hai ejaaz-e-masiihaa mere aage juz naam nahiin suurat-e-aalam mujhe manzuur juz vaham nahiin hastii-e-ashiyaa mere aage

Ghalib Poetry

Embed Size (px)

DESCRIPTION

Ghalib Poetry

Citation preview

Page 1: Ghalib Poetry

aah ko chaahiye ik umr asar hone tak

aah ko chaahiye ik umr asar hone takkaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak

daam har mauj me.n hai halqaa-e-sad_kaam-e-nahangdekhe.n kyaa guzare hai qatare pe gauhar hone tak

aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaabdil kaa kyaa rang karuu.N Khuun-e-jigar hone tak

ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekinKhaak ho jaaye.nge ham tum ko Khabar hone tak

partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliimmai.n bhii huu.N ek inaayat kii nazar hone tak

yak_nazar besh nahii.n fursat-e-hastii Gaafilgarmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak

Gam-e-hastii kaa 'Asad' kis se ho juz marg ilaajshammaa har rang me.n jalatii hai sahar hone tak

baaziichaa-e-atfaal hai duniyaa mere aagebaaziichaa-e-atfaal hai duniyaa mere aagehotaa hai shab-o-roz tamaashaa mere aage

ik khel hai aurang-e-sulemaaN mere nazadiikik baat hai ejaaz-e-masiihaa mere aage

juz naam nahiin suurat-e-aalam mujhe manzuurjuz vaham nahiin hastii-e-ashiyaa mere aage

hotaa hai nihaaN gard me.n seharaa mere hoteghisataa hai jabii.n Khaak pe dariyaa mere aage

mat puuchh ke kyaa haal hai meraa tere piichhetuu dekh ke kyaa rang hai teraa mere aage

Page 2: Ghalib Poetry

sach kahate ho Khud_biin-o-Khud_aaraa huu.N na kyoN huuNbaiThaa hai but-e-aa_iinaa siimaa mere aage

phir dekhiye andaaz-e-gul_afshaanii-e-guftaarrakh de ko_ii paimaanaa-e-sahabaa mere aage

nafrat ka gumaaN guzare hai main rashk se guzaraakyoN kar kahuuN lo naam naa us kaa mere aage

imaaN mujhe roke hai jo khiinche hai mujhe kufrkaabaa mere piichhe hai kaliisaa mere aage

aashiq huuN pe maashuuq_farebii hai mera kaammajanuuN ko buraa kahatii hai lailaa mere aage

Khush hote hain par vasl men yuuN mar nahiin jaateaa_ii shab-e-hijaraaN kii tamannaa mere aage

hai mauj_zan ik qulzum-e-KhuuN kaash! yahii hoaataa hai abhii dekhiye kyaa-kyaa mere aage

go haath ko jumbish nahii.n aa.Nkho.n me.n to dam hairahane do abhii saaGar-o-miinaa mere aage

ham_peshaa-o-ham_masharab-o-ham_raaz hai meraa'Ghalib' ko buraa kyoN kaho achchhaa mere aage