Allaahu Ki Tashri

  • Upload
    mbazal

  • View
    349

  • Download
    12

Embed Size (px)

DESCRIPTION

Allaahu Ki TashriAllaahu Al - Ke maane bodyLaahu - Ke maane dhadkan - Rooh . Jo aap mein hain.Allaah aasmaan pe nahi ,Allaah aap ki dhadkan hain jise hum Rooh kehte hain.

Citation preview

Allaahu Ki TashriAllaahu Al - Ke maane bodyLaahu - Ke maane dhadkan - Rooh . Jo aap mein hain.Allaah aasmaan pe nahi ,Allaah aap ki dhadkan hain jise hum Rooh kehte hain. QuranQuran (kitab) mein jab Allaah lekha jaayega tho Alif per zaber nahi aata kyon kay khud Quran maujood hain, baaz jaga per Allaah per zaber aayega woh ek raaz hai. Quran se bahar jahan bhi Allaah likha jaayega waha zabar alif per dena zaroori ho jaata hain kyon ke, zabar jo hain Quran ka Reference hain Ref: Lailatul Qadar Quran ka saboot Allaah taala kehte hain main ne Quran ko lailatul Qadr per utara Aamaal Alif aamaal hain yaani ke insaan jo karta hai amaal har mazhab (religion) ke insaan mein maujood hain amaal Quranke daaire mein hona chahiye . Ref: INNA MUL AAMAL BIN NEEYAT - Niyat kaun karega - niyat teri nafs kare gi saakit rehne ke liye - amal teri Rooh karegi jo Allaah ki Zaat hain. Nafs zaahir mein uske mujjassima ka andarooni Nafs Laam har insaan ka nafs hain.Agar hum Allaahu ki puri spelling kare: Alif laam zabar-al , lam lam zabar-lal , lam lam khada alif laa, he pesh-hu = Allaahu. Yeh laam avoid karna hain -nafs ki nafi karna hain. Nafs ki nafi karke doosre laam ko mila na hain .Agar hum yeh laam avoid nahi karenge, toh nafs ajaayega aur osko hum avoid karengeShaitaanIs nafs ko shaitaan grip mein liya huwa hain.Ref: Qullu nafsin zaaikatul maut. Nafs mein shaitaan hain. Hamesha waswase daalta rehta hain. Behkaata rehta hain. MujassimaHuman body hai. Allaah tala farmare haiRef: Ma khalaknal jinni wa insi illa ya badoon.Hum ne jin aur ins ko paida kiya ibadat ke liye.Magar Woh khud ki (Khawishat ki) ibadat mein lag gaya. Zaat-e-MajaaziYeh temporary hain, Allaah ki Zaat hain zinda cheese mein dhadakti hain.Hindu muslim, jhad(tree), pahad, patthar, insaan. Zaat-e-Majaazi mein andhera aur gumraahi hain. Zaat-e-HaqSirf kalma padne walon ko hi naseeb hoga.Kyon ki woh log nafs ki nafi karte hain woh logAllaah ko paa lete hain. Zaat-e-Haq mein ujaala hi ujaala hain,roshni hi roshni hai woh Allaah ki pehchaan hain. Zaat-e-Haq mein nafs Rooh ko surrender ho kar har amal ko Zaat ke hawaale karna chahiye kyon ki jo bhi amal Rooh se hoga woh amal saleh hi hoga.Ref: Sure Baqra Ayat 61- 62: Man aamana billaahi wal you mil aaqiri wa aamila salihin fa lahum ajruhum inda Rabbihim wala qaufun alai him wa la hum yah zanoon. Jo log nafs ki nafi karke Zaat ko pa lete hai , wohi din inka aaqiri din honga .Ab jo bhi amal honga Zaat ke zariye honga jo amal Zaat ke zariye honga woh amal saleh honga aur jo amal saleh honga is ka ajar Allaah ke paas mehfooz rahenga.Ab aise logo ko na khauff honga aur na ranj honga. RoohHar ek mein dhadak rahi hain jo pehle Zaat-e-Majazi hain Kalma padne se Zaat-e-haq banti hain Rooh uski dhadkan hain,jo log khada alif, jo Allaah ke upar hain, uska istemal na karne se Zaat-e-Majazi mein hi bhatakte rehte hain. Unki Rooh zinda nahi hoti. Jo khada alif hain uska haq ada karna hoga yaani ki teen hisse mein keechna honga jab hi tumhaare andar Zaat-e-Haq Rooh zinda hogi A L L A A A A H U Isi tarah kalme ko keech kar padna hoga LA - ILA HA - ILAL LAAAA - HU.

BISMILLAAAH - HIR REHMAA-NIR-RAHEEMBE : Se bulandi zameen wa aasman keSEEN : Se roshni chand wa suraj keMEEM: Se milkiyat Allaah ke tamam maqlooqat keLAAM: Se nafi hongi in tamam chizon keAR-REHMAAA: Us ka wajood muj me aagayaNIR RAHEEM: Payaam e najat mujhe mil gaya.

LAA-ILAAHA-ILLALLAAAHU NAHI RAHEGI KOI SIFAT BAKHI SIWAYE ZAAT KE MERE UNDER ROOH BANKER

MUHAMMADUR RASOOLULLAAHUALLAH KA KALAAM HAI Qasirad duniya wal akhirah (QURAN ke humkum se) Nekaal pekho duniya wa aqirat ko apne dilon se. Duniya mohabbet ka aur aaqirat naemat ka makaan hai in dono se accha to mera qalb hai jo mahrefat ka makaan hai.KALME KI TASHRI Kalme mein 2 parts hain 1)La-I-Laaha-Illal-Laaahu - Allaah ka tarruf karwata hai2) Muhammadur Rasoolullaaahu : Muhammed (S.A.W) ka tarruf karwaata hain jo chalta phirta Quran hain.

Ab tak jo kalma hum padte aaye hain woh Lailaha IllAllaahu tha.Jab ke quran mein khud likha hain Para : 26 Surah : Muhammad Aayat 19 LAA - ILAAHA -ILLALLAAAHU. LAA alag likha hain , ILAAHA alag ILLALLAAHU alag likha hain. Hum sab jaane anjaane mein itni badi galti kar baithe the ke jis ka andaza hame khud nahi hota. Pehle 3 din sirf pehla part kalme ka padenge yaani ke - LAA-ILAHA-ILLALLAAAHU kyon ki is mein Allaah ki Zaat ki pehchaan hain. Doosre part yaani ke Muhammadur Rasoolullaaahu mein Muhammed (S.A.W) ki pehchaan hain jo ki chalta phirta Quran hain. Agar aap bagari ghusul-o-tharat ke Allaah ke mehboob ka naam loge to tum ko gunaah hoga. Tum log Allaah ki Zaat ko nahi pehchaane to Muhammed (S.A.W) ko kaise pehchaano ge . Jab tak tum ko Allaah nahi samajh aaya to Allaah ka kalaam kaise samajh aayega. Is liye kalme ko 3 hisse mein padna chahiye LAA -ILAAHA - ILLAL LAAAAAHU LAA ko alag padna hoga ILAAHA ko alag padna hogaILLAL LAAAAAHU ko keech kar padna hoga.1) LAA ke maine : Nahi rahegi 2) ILAAHA ke maine : Sifat Sifat yaani ke jannat,dozak,zameen,aasmaan,insaan,farishte,jin,ma,baap,aziz,padosi,dost ahbab,had taake tera mujjassima yaani ke tera nafs bhi nahi rahega. Yeh sab character of Allaah hai aur in cheeso mein kissi bhi cheez ko like karna gunha ka fatwa lag jaayega. Isi liye tere ko chahiye ke Allaah se hatkar koi bhi cheez hai uski nafi karna hoga aur Allaah ki Zaat ko hi rooh maanna hoga. 3) ILLAL LAAAHU: Ke maane kaayenat ki dhadkan jis ko hum Rooh kehte hain wohi hum sab ka rab hain. Isi liye apni Rooh ko hi apna rab maan kar apne nafs ki nafi karna chahiye.MUHAMMADUR RASOOLULLAAAHU: MUHAMMED (S.A.W) ke tallook se Quran mein likha huwa hain. Qasirad duniya wal akhirah Ay Nabi (S.A.W) nikaal pekho duniya ki mohabbat ko aur akhirat ki laalach ko Duniya mohabbat akhirat naemat ka makaan hain in do se to accha mera Qalb hain jo maarifat yaani ke Allaah ki pehchaan ka mukhaam hain jis mein Allaah ki Zaat rehti hain. Ab in 2 parts ko padne se pehle tum ko Allaah ki Zaat samajhme aayegi- Rooh zinda hogi uske baad hi tum ko Allaah ki Nabi aur uski Kitaab samajh mein aayag to tum sahi maane mein us par amal kar sakte ho warna gumraah ho jaa-oge nafs ke andhere mein.

NAMAAZAauzoo Billaaahi MinasshaitaAa Nirrajeem:Jo log nafs ke nafi karte hai wohi log Allaah ko paa lete hai, is liye shaitan unko koi nukhsaan nahi pahucha sakta. Main panah mangta hoon Zaat ki shaitan mardood ke shar se.BISMILLAAAH -HIR REHMAA-NIR-RAHEEM : BE: Se bulandi zameen wa aasman keSEEN:Se roshni chand wa suraj keMEEM: Se milkiyat Allaah ke tamam maqlooqat keLAAM: Se nafi hongi in tamam chizon keAR-REHMAAA: Us ka wajood muj me aagayaNIR RAHEEM: Payaam-e-najaat mujhe mil gaya.NIYAT :INNI WAJJAHTU WAJHIYA LIL LAZI FATARAS SAMAVATI WAL ARZA HANIFAWN WA MA ANA MINAL MUSHRIKEEN Mera nafs saakit hai,Zaat khud Zaat ki taraf rooq karengi ,mera nafs saakit ho chooka hain is liye main mushreeko mein se nahin hoon agar mera nafs Zaat ki kissi harkat mein daaqil rahenga to beshak mushrik hoga. ALLAAAHU-AKBARU : Har shai mein ushi ki dhadkan hai is liye woh sabse bada hai.SANA :SUBHANA KALLA HUMMA WA BI HAMDI KA WAT TABARA KASMOOKA WA TA-AALA JADDU KA WA LAA-I-LAAHA GHAIROOK. Paak hain woh Zaat jo mujme dhadak rahe hain aur saari kayanat mein ushi ki dhadkan uski hamd wa sana bayaan kar rahi hain.Sefaat kitni bhi oonchi ho jaaye taareef to Zaat ki hi hongi kyon ki muj se lekar jitne bhi aaba waajdaad aaye hain sab mein Zaat hi ki dhadkan hain.AAOOUZO BILLAHI MINASH SHAITAA NIR RAJEEMJo loge nafs ke nafi karte hai wohi loge Allaah ko paa lete hai, is liye shaitan unko koi nukhsaan nahi pahucha sakta. Main panah mangta hoon Zaat ki shaitan mardood ke shar se.TASMIYAH: BISMILLAH HIR RAHMAAA NIR RAHEEM

ALLAAAHU-AKBARU :Har shai mein ushi ki dhadkan hai is liye woh sabse bada hai.RUKU : SUBHAANA RABBI YAL AZEEM :Paak hai woh Zaat jiske mujhme aane se meri Rooh asmaan ke kinaaro tak safar kar sakti hain. QAUMAA : Sami allaAAhu liman hameedaH : Jo kuch bhi Zaat ke taarif aur hamd bayaan ki gayi us mein main saakit hoon kyon kiharkat Zaat ki hain meri baat sewaye ALLAAH ke koi nahin sun sakta.TAHMEED: Rabbana lakal hamd: Woh Rab hi hai jo mere (sukood) ko mehsoos kar sakta hain. SAJDA : Subha na Rabbi Yal aala : Paak hain woh Zaat jiske mujhme aane se meri Rooh Arsh ka tawaaf kar sakti hain.QAAIDA :AT TAHIYATU LIL LAHI WAS SOLAVATU WATU WA TAYYI BAATU AS SALAAMU ALAIKA AYYU HAN NABI YUU WA RAHMA TULLAAHI WA BARA KATUHU. AS SALAAMU ALAINA WA AALA IBAADIL LAAHIS SWAALIHEEN ASH HADU AL- LAA-I-LAAAHA ILLAL LAAHU WA ASH HADU ANNA MUHHAMADAN ABDU HU WA RASOOLUHU:Nafs ko chodkar bhaitna ,bardash karna baaitne ke liye (bandagi) ,jo bhi alfaaz zabaan se nikalte hain nafs ka daqal nahin hota salaam ho aap par Nabi(S.A.W) rahmat aur barkate naazil ho aur un logo par salaaamati ho jo nafs ki nafi kar chuke hain,gawaahi deta hoon ke koi sifat baqi nahin raheinge sewaye Zaat ke Muhammed (S.A.W) Allaah ke bande aur Rasool hain, adab aur taazeem ke sab kalme Allaah hi ke liye hain aur sab ibadatein aur sadqe Allaah he ke liye hain, salaam ho tum par aye Nabi (S.A.W.S) aur Allaah ki rahmatein aur barkatein salaam ho hum per aur Allaah ke naek bando par.

DUROOD ALLAAH HUMMA SOLLIE ALAA MOHAMMADIWN WA ALAA AALI MOHAMMADIN KAMA SOLLAITA ALAA IBRAHEEMA WA AALA AALI IBRAHEEMA INNAKA HAMEEDUM MAJEED:Jo Zaat sare aalam ko dhadka rahi hain isi Rooh ke zariye Muhammed (SAWS) per aur unki aal per rahmat aur salaamati jis tarah tum aur tere farishte har Zaat wale ke zariye ek dusre Zaat wale ko durood wa rahmat ka payaam pahuchaate rahen main bhi aaj Ibraheem (AS) aur unki aal per durood-o-salaam teri Zaat ke zariye bhej ta hoon.DUA :ALLAAH HUMMA INNI ZALAMTU NAFSI ZULMAN KATHEERAWN WALA YAQ FIRUZ ZUNOOBA ILLA ANTA FAGHFIRLEE MAGH FIRATAM MIN INDAKA WAR HAMNI INNAKA ANTAL GHAFOORUR RAHEEM:Aye Allaah mein apni nafs per bahut zulm kiya,teri bandagi bardash naa kar saka ,thuj se hat kar kis se apni magfirat chahoo mere nafs par rahem kar beshaq tuhi bakshne wala aur payaam e najaat dene wala hain.

SALAAM : AS SALAAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAH :Salaamati ho tum per jin wa ins jo Zaat ko pechaante hain aur rahma te naazil hoon.

SURAH FATIHA:Alhamdulillaaahi Rabbil aalameen : Tamaam taareef us maalik ke liye hain jo saare maqlooq ki har zaroorat ko bila shart ke poora karta hain .Ar-rehmaaa nir raheem : Us ka wajood muj me aagaya payaam e najat mujko mil gaya.Maaliki yomiddin : Jo aaj ke din ka maalik hai kyon ke mere jism ke harkat mein ushi kI Rooh dhadakti hai Iyaka naabudu wa Iyyaka nastaeen: Beshak hum aap ki ibadat nahinkar sakte ,is kalme mein 'la ilaaha' kehkar nafs ke nafi karta hain aur 'ilallaaahu' mein apne andar us ki Zaat ko hi Rooh maanta hoon. Har harkat ka iqtiyar Zaat ko hai.Zaat hi Zaat ki ibadat karegi.Ihidinas siratal mustaqima siratal lazina anamta alaihim:Ye woh raasta hai sare Ambiya,Sahaaba,Muhadisin,Salehin,nafs ki nafi karke Zaat se he chaale the.Gair il magzubi alaihim walazalin :Jo nafs kisi harkat mein mudakilat karega woh gyar ki harkat hongi,kyon ke agar namaz mein nafs harkat karti hai to gyar ke namaz hogi.AAMEEN:Mera farz jo tha apne Naqis khayal ka izhaarr kar chuka. Ab aap qubool kare ya naa kare aap malik hain.

Surah al -kouser :Innaa aatainaaa kal kouser : Hum ne tum ko kouser ata kar chuke (Ilme Haq he Noor hai)yani Zaat ki pehchaan jise Rooh kehte hai.Fassali li Rabbi ka wanhar : Pees dalo apne nafs ko aur apne khawish-shaton ko ,qurbaan ho jao apne Rab ke liye.Inna shahni aka huwal abtar : Beshak shaitaan tumhara kattar dushman hokar bhi kuch nahi begaad sakta,kyon ki tumhara nafs mar chuka hain tumhara nafs hi tumhara dushman hain.

Surah Iqlas :Qul huwallaaahu ahaad:Allaah taala saari maqlooq ko apne aahaate mein liye hua hai.Allaaahus samad: Allaah taala saari maqlooq ko belouz apne aahaate mein liye huan hain, is kaam se Allaah taala ko koi fayda ya nuksaan nahin kyon ki hum maulaq hain.Lam ya lid walam yu lad :Allah ko kissi ne pai-da nahin kiya aur naa hi Allaah ne kissi ko pai-da - balke Allaah ta-ala ne sab ko kun keh kar pai-da kiya.Walam ya kul lahoo kufu wan ahad: Saari maqlooq mein koi kissi ka mohtaj nahin balke sab ushi ke dhadkan ke mohtaj hai.

Surah Falaq :Qul aauzobiRabbil falaq : Kaho main nafs ke nafi karke Rab ki panaah mein ja chuka hoon kyon ki ab subha hone wali hain.Min sharrima qalaq : Mujhe koi shar nahin pahucha sakta, kuan-e maqlooq, kyon ki main Rab ke panah mein ja chuka hoon.Wamin sharrigaasiqin iza waqab : Aur na koi zahir mein na koi baatin mein shar kar sakta hai kuan ki main Rab ki panah mein ja chuka hoon.WAMIN SHARRIN NAFFAA SAATIL FIL UQAD : Aur na koi shar pahucha sakta hain nafs parast fil waqat kyon ki main Rab ki panaah mein jaa chuka hoon.Wa min sharri hasidin iza hasad : Aur shar aisa pehlna hai jaise hasad ka samandar.Lekin mujhe koi nuksaan nahin pahuchat sakta kyon ki main Rab ki panah mein ja chuka hoon.Surah Naas :Qul aauzo bi Rabbin naas : Kaho mein ne apni nafs ki nafi karke Rab ki panah mein ja chuka hoon.Malikin naas : Aur woh maalik hai insaano ka. IlAahin naas : Aur woh maalik hai tamaam sifat aur insaano ka.Min sharrill Was waAsil qannas : Nafs aur shaitan milkar meri Rooh ko koi nukshan nahin pahucha sakte kyon ki mera nafs mere Rab ki panah mein ja chuka hai.Al lazi uwas wisu fi sudurin naas : Insan aur uski sifat milkar mujko shar ki taraf waswase ke zariye shaitan ghumrah karna chahta hai ,lekin mujhe koi nuksaan nahin pahucha sakta kyon ki main Rab ki panah mein ja chuka hoon.Minal jinnati wann naas :Jinn ho ke insaan mujhe koi nuksaan nahin pahucha sakta kyon ki main Rab ki panah mein jaa chuka hoon.NAMAAZ-E-JANAAZANiyat : NAWAI TU AN U-AD-DIYA LILLAAAHI TAALA ARBA TAKBIRAATI SALAATIL JANAAZATI AS SANAA OO LILLAAAHI TAALA WA SALATU LIR RASOOLI WA DUAAOO LI HAZAL MAI-E-TI IQTADAITU BI HAZAL IMAAMI MUTAWAJJIHAN ILA JIHATIL KAABATI SHARIFATI. Main niyat karta hoon saakit hone ke liye aur meri har harakkat Zaat ki hongi.(Chaar takbiraat namaaz-e-janaaza ada karta hoon)Zaat hi Zaat ki taareef karengi Zaat ke zariye hi durood-wa-salaam Rasool ke liye aur dua is maiyat ke liye maine iqteda ki is imaam ki maine apna ruq kiya Kaabe ki taraf kyon ke kaaba nafs-e-Adam ko Zaat-e-Haq inaam mein mil chuke wahi Zaat sare alam ko dhadkaa rahi hain is liye woh har shai se bada hain .

ALLAAAHU-AKBARU : Har shai mein ushi ki dhadkan hain is liye woh sabse bada hain.

SANA : SUBHANA KALLA HUMMA WA BI HAMDI KA WA TA BAARA KASMUKA WA TAALA JADDUKA WA JALLA SANAA-OKA WA LA ILAAAHA GAIROOKA Aye Allaah main teri Zaat ke zariye tujhe ko yaad karta hoon isi liyen Zaat ke zariye teri hamd-wa-sana bayaan karta hoon tera Zaat aur tera naam mere tamaam jad isi Zaat se amal karte rahe aur ushi harakkat se teri tareef aur sana bayaan karte rahe agar koi nafs ke zariye teri tareef karta to woh Zaat ki tareef nahi balke gair ki tareef hoti.

DUROOD : ALLAAAHUMMA SALLIALA MOHAMMADIU WA AALA AALI MOHAMMADIN KAMA SALLAITA WA SALLAMTA WA BAARAKTA WA RAHIMTA WA TARHAMMAT AL IBRAHEEMA WA AALA AALI IBRAHEEMA INNAKA HAMIDUM MAJEED. Jo Zaat sare aalam ko dhadka rahi hain isi Rooh ke zariye Muhammed (SAWS) per aur unki aal per rahmat aur salaamati jis tarah tum aur tere farishte har Zaat wale ke zariye ek dushri Zaat wale ko durood wa rahmat ka payaam pahuchaate rahen main bhi aaj Ibraheem (AS) aur unki aal per durood-o-salaam teri Zaat ke zariye bhej ta hoon.

ALLAAAHU-AKBARU:Har shai mein ushi ki dhadkan hain is liya woh sabse bada hain.DUA :ALLAAHU MAGFIR LI HAI-I-NA WA MAI-I-TINA WA SHA-I-DINA WA GA-I-BINA WA SAGIRINA WA KABIRINA WA ZAKARINA WA UNSAANA . ALLAAAHUMMA MAN AHYAITAHU MINNA FAH-YI-HI ALAL ISLAAM WA MAN TAWAFAITAHUM MINNA TAWAFATHU ALAL IMAAN.Aur uski Zaat hain ke har sifat ko baksh dete hain jisko mayyat kehte hain is mehfil mein jitne log tere Zaat ki shahadat dete hain aur hamare gaibaane mein jo log teri Zaat ki shahadat dete hain Zaat wale chote hoon ya bade har Zaat wale har mard ya aurat ko jab tak bhi zinda rakhe nafs ko saakit rak kar Zaat ki parashtish mein lagae rakhna.

ALLAAAHU-AKBARU: Har shai mein ushi ki dhadkan hain is liyen woh sabse bada hain.AS SALAAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAAAH :Teri nafs saakit ho jaye aur Zaat zinda ho jaye aur tera har amal rahmat wala ho jaye jin ho ke ins.DUA-E-QUNOOT:Jo log nafs ke nafi karte hai Allaah ko paa lete hai aur wahi Zaat unki madad karti hai ,aur jo nafs saakit hai uski magfirat bhi karte hai.Rooh per imaan laa chuki hai nafs saakit ho ker bharosa karti hai Zaat per aur Rooh aise nafsoun ke tareef karti hain isi liye her nafs Zaat ka tawaaf ker-kar shukar bajaa laati hai. Jo nafs harakkat karegi Rooh ke aage aise nafsoun ko Allaah-taala,chun -chun ker alag karte hai nafs khati hai hum teri ebaadat nahi kar sakte kyon ke harakkat tere hai hamara mujassima teri Rooh ke zariye hi namaaz-wa-sajdha karte hai. Jab kabi Rooh nazar aati hai nafs Rooh ka tawaaf karne lagti hai,aur teri rahmat ka muntazir rahti hai,aur her waqt iske azaab se darti rahti hai,beshak iska azaab ,bahut saqt kafiroun ke liye jo nafs ki harakkat nahi pehchante hai.Is se behtar hai ke tum duniya ko chodkar hamari taraf kalma padh kar laut jaye.Tamaam kayanat ko fateh kar ne wali Zaat Rooh hai jisko maalik kee Haqqi kehte hai kyon ke insaan tamam sifat ki nafi karta hai bajuz uske to is ka khoon ka har qatra Arsh ho jata hai aur sari maqlooq pe karam karta hai. => Sarkar Madina (SAWS) Ka farman hai ke jo koi dil se "La-ilaaha illallaAahu Muhammadur RasoolUllaAAhU kehte hai to uske muh se sabz rang ka ek parinda nikalta hai jiske dono baju mein safed moti aur yaqut jade huwae hote hai aur us parinde ke dus hazaar sar hote hai har sar mein dus hazar zaban aur har zaban se dus hazar lagat (boliyan) mein Allaah ta ala ki tasbeeh karta hua , aur kalma padne walo ke liye istagfar karta hai aur aasmaan ki taraf bualand hota jata hai.Us parinde ko Allaah ta ala farmate hai ke jannat mein daaqil ho ja . Woh aarz karta hai ke Ya Allaah ! mein jannat ki taraf us waqt tak nahin jaoonga jab tak tu us shaks ko na baksh dega jis ke muh se main nekla hoon - Irshad Bari Ta ala hota hai - Kalma Tayyab ! Sunkar us neik bande ki zaban par to puri tarah se ada bhi nahin hote lekin us parinde ko satra hazar zabaan aata nahin ki jati hai aur wo har zaban se us Kalme padne wale ki liye Dua e Magfirat karta hai . Jab Qayamat ka din aayega to ye parinda us neik bande ki haat pakad kar apne saat usko jannat mein le jayega.

Munajaat-E-Maqbool1)Aye Allaah mein gunah gar hoon, badkaar hoon, siyaakaar hoon, riyakaar hoon, Tu Apna mohtaj raq kissi aur ka mohtaj na bana.2) Aye Allaah mere gunaah-e-kabirah aur gunah-e-sagirah ko maaf kar aur tamaam galtiyo ko darguzar kar.3) Aye Allaah hum teri panaah chahte hai din ke ujale se, raat ke andhere se, har musibat se, har aafat se, har pareshaani se, kanoon ki giraft se, police ki giraft se, shaitan mardood ke shar se, dushman ke shar se, qabar ke azaab se, jahanum ke aazab se, pul siraat ke raaste se, mezaan ke tarazoo se, hashr ke maidaan se, tere maqlooq ke sharr, fareb, hasad, jalan, keena, kapat, dhoka dahi se hum teri panaah chahte hain.4) Aye Allaah hum ko iqlaas ke sath zikr, tilawat aur namaaze padne ki taufeeq ataa farma.5) Aye Allaah hum ko sabre jameel ataa farma, aqle saleem ataa farma, ilme kaamil ataa farma is pe amal karne ki taufeeq ata farma.6) Aye Allaah har Musalmaan ko Kaaba-e-haq ka tawaaf naseebataa farma, roza-e-haq ka deedar naseeb ataa farmakar aur sadqa-e-haqataa farma.7)Aye Allaah teri mohabbat khaas ataa farma aur tera khauff ataa farma jitna ke hum bardash kar sake.8)Aye Allaah tere Nabi Sallallaahu Alaihiwa Sallam ki har sunnat ko zinda karne ki taufeeq ataa farma sunnat ke liye jeene aur sunnat ke liye marne ki taufeeq ataa farma.9)Aye Allaah hamare aamaal ka, karz ka, karobaar ka tu he zimmedar ho ja.10)Aye Allaah karz lene walon ko sabr ataa farma aur jisse hum ko karz lena hai unko maaf karne ki taufeeq ataa farma.11)Aye Allaah hamare aulaad ko nake saleh, mard mujaahid, hafiz-e-Quran, aamil-e-Quran bana. Aur jo log sahib-e-aulaad na hone ki wajeh se dubiya me tadap rahe hai, unko sahib-e-aulaad bana de aur unko nake saleh aulaad ata farma.12)Aye Allaah hamare maa, baap, behan, bhai, aziz wa aqaRab, padosi, murideen, mutakhadeen aur sare aalam ko musalmaan mard aur aurto ko tauheed ke samandar mein dubo de. Unki jaayaz duaon ko qubool farma aur unki hifazat farma jis tara tune apne mehboob Paigambaro ki, muhdaseen ki, saaleheen ki hifazat kiya tha ushi tarah un sab ki hifazat farma dayne se, bayne se, upar se, neche se, aage se peeche se.13)Aye Allaah tere maqlooq ke dil mein hamare mohabbat aur khauff daal de, jo dushman hai unko dost bana de aur jo dost hai unko samandar jaisi gahrai ki dosti mein jakad de.14)Aye Allaah jo bimaar hai unko shifa ataa farma jo berozgaar hai unko rozgaar ata farma jo benaamazi hai unko namaazi bana aur jo namaazi hai unko iqlaas ke samandar mein dubo dein aur jo tere Nabi ke ummati qabr ke azaab se tadap rahe hai aur jo ummati is duniya mein qabar ki azaab ki taraf bad rahe hain in sab ko maaf farma.15)Aye Allaah saare aalam ke naujawaan ladkiyon ki asmath ki hifazat farma aur saare aalam mein aman-wa-aaman ata farma.16)Aye Allaah is kalme ki haqiqat ko mashriq wa magrib shamal janubo tak pahucha de.17)Aye Allaah, hamari zabaan mein taaseer ataa farma aankhon mein sharm wa haya ataa farma jism mein taqat aur dil mein himmat ataa farma aur saare aalam ke kaafiron per galb aata farma.18)Aye Allaah Huzoor e Akram S.A.W.S se sacchi mohabbatt ataa farma Paigambaro se Sahaba se Muhadaseen se Saleheen se sacchi mohabbet ata farma.19) Aye Allaah muj ko teri wahdaaniyat se aaraasta kar de taake teri maqlooq mere andar Zaat wa sifaat ka mashaida kar sake. Tujh se tujhi ko maangta hoon tujh se teri panaah chahta hoon aur tere aur mere (meri nafs aur teri Rooh ke) beech mein jo hijaabat hain unko hata de.20)Aye Allaah beshaq tu mujhe jahannum mein daal de lekin tere Nabi ki ummath mein jogunah gar hai, badkaar hai, siyaakaar hai, riyakaar hai un sab ko maaf farma aur jannatul firdous me aala muqaam ata farma.21)Aye Allaah in tamaam duaon ko Huzoor-e-Akram (SAWS) ke waastae se aur unke nawaso ki shahadat ke ek ek khoon ke khatre ka waasta aur Bayazeed Bostaami(RA), Abul Hasan Qarqaani(RA), Ibraheem Bin Adham(RA), Rabia Basri(RA), Hasan Sofi(RA), Khatijatul Kubra Sofi(RA)Fatima Sofi(RA) Safiya Sofi(RA) aur Afia Sofi(RA) ka waasta qubool ataa farma.Note: Log aksar poochte hai ke kyon ham aisi dua maang rahe hai ki hame jahannum mein daal de? Is ka explanation yeh hai.(Aye Allaah beshaq tu mujhe jahannum mein daal de lekin tere Nabi ki ummath mein jo gunah gar hai, badkaar hai, siyaakaar hai, riyakaar hai un sab ko maaf farma aur jannatul firdous me aala muqaam ata farma) Ref:- Allah ke Rasool SAW ne irshad farmaya jahannam har roz 70 times. Allah se panah mangti hai, Aye Allaah tu mujhe mahfooz rakhna jo banda kalma padke apni nafs ko sakit karke sabr ki aag mein jalta hai, uski aag ki shiddat jahannum ki aag se zyada hai. Isi liye jahannum darti hai ke kahi yeh banda mere andar kkadam na rakhde aur mein kahi thandi na hojau. Is liye barhaa Allaah se dua karti hai ke aye Allaah tu mujhe mahfooz rakhna is bande ki sabr ki aag se, Jab jahannum har roz ham se 70 time darrti hai to ham kalma padke 1100 time har roz kyon na daraye agar hamare ek jalne se Allaah ke Rasool(SAWS) ki ummat bach sakti hai to mein Allaah ke Rasool(SAWS) ka saccha ummati hone ke naate mein yeh chaahonga ke mein jahannum mein jaa kar aap ki ummat ko baksh waoonga aur aap ki ankhon ko thandak pauchaoonga, agar mere ek ke jalne se mere Rasool(SAWS) ki ankhon ko thandak pohonch sakti hai to mein carore baar jaalne ko taiyyar hoon.Durood-e-Shareef (Durood-e-Kaamil) ALLAAAHUM MAJ AAL SOLAWATIKA WA REHMATIKA ALAA SAYYEEDINA WA MAULAANA MOHAMMADIUN WA AALA AALI MUHAMMADIUN WA ASHABIHI WA AZWAAJIHI WA ZURRIYATIHI WA UMMAHATAAL MUMINEENA KAMA SOLLAITA ALAA IBRAAHEEMA WA AALAA AALI IBRAHEEMA INNAKA HAMIDUM MAJEED. Pak hai woh zaat jiski dharkan se hum naik amal karte hai. Beshak hamara har amal hamarey nabi ka amal hai aur unki aal ka amal hai, sahabiyo ka aur unki biwiyo ya maayo ka hai. aur ye amal ibrahim Alaih salaam aur unki aal se hum tak pahuncha hai, isliye hamara amal in sab par pahunchega durood o salaam bankar.