22
lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab By Maqsood Hasni Abuzar Barqi Kutab'khana July 2016 lisanyaat bara ahum aur hisas subject hai is par kam hi likha parha jata hai. Ahbab ki dilchaspi kay liay main nay sawalan jawaban is mozoo ko chera hai kayoon'kah is hawala say bhi aaghi rehni chahiay.

lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab

Embed Size (px)

Citation preview

Page 1: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

lisanyaat say motalaq

kuch

sawal jawab

By

Maqsood Hasni

Abuzar Barqi Kutab'khana

July 2016

lisanyaat bara ahum aur hisas subject hai is par

kam hi likha parha jata hai. Ahbab ki dilchaspi kay

liay main nay sawalan jawaban is mozoo ko chera

hai kayoon'kah is hawala say bhi aaghi rehni

chahiay.

Page 2: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab

1- Zoban ka safar kab tehrao, oljhao aur pachidgi

ka shakar hota hai?

a. Taza za , sakoot au la’yae iat kay doo ai .

. Bay’fik i au sakoo kay doo ai .

2-Zoban ka khameer kin kin aanasar say othta hai?

Kiya in aanasar ka ta'aluq waseab say bhi hota hai?

Shakhas kay aalaat-e-notaq aur moaawan

aalaat-e-notaq.

In say aawazain nikalti hain aur in hi kay hawala

say istamaal main aati hain

Page 3: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

aalaqa, mahool, zarorat, aab-o-hawa, mosam

Moaashrat/ motalqa waseab kay rovaeay aur

rujhanaat zoban ki taraqi ka sabab bantay hain.

Kam az kam doo ashkaas jin ki moaashrat aur

zoban eak ho

Eak si aawaz nikalnay par qadar hoon

Mahajrat ki surat main main bhi mahajar

sa ’zameen par doo eak zoban bolnay walay

ashkhaas apni zoban main goftagu karkay aasudgi

mehsous kartay hain. oon ki nasal bhi aisa kar kay

aasudgi mehsous karti hai.

Es main asbeat ka bhi dakhal hota hai.

3-Zoban kay mazaaj aur rowaeyoon ko samjhnay

kay liay ki pehlo’oo ka ja a za o i hota hai?

Os kay mohawray ko janna zroori hota hai.

Page 4: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

4-Kiya mukhtalif zobanoon kay milaap say eak

naee zobaan banti hai?

Nahai , ilkul ahai , yah az iya a a gu ah’ku hai.

Haan zobanain kisi bhi zoban ki taraqi ka sabab

banti hain.

5-daisi au a’daisi zo a kay ahu alfaz say zobanoon main jidat aati hai ya mafaheem maim

gehraee paida hoti hai kay hawala say kuch

kahain?

• Izhaar ko vosat milti hai

• Lafzoon ka talafaz badal jata hai

• Na’ay lehjay ta kee patay hain

• Na’ay alfaz ta kee ptay hai asla :

eain+nak

• Na’ay a ak aat a tay hai

Page 5: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

6- Kiya zoban kay rasam-ul-khat main bhi tabdeli

aati rehti hai ya nahain?

Aati nahain laee ja sakti hai ya laree jati hai. Jis tara

Turki kay sath howa. Is say zoban ko noqsan

ponchta hai:

Porana warsa zaya ho jata hai

Kuch aawazain baqi nahain rehtein. Maslan Urdu

aur Roman Urdu khat ko hi daikh lain.Urdu khat

aur dev nagri khat ko malahza farma lain. Punjabi

aur gurmakhi ki misal mojood hai.

Urdu kay pas 63 say ziyada aawazein hain Raman

Urdu main likhtay waqt marakab aur mutradaf

aawazoon say kaam chalana parta hai.

7-Mukhtalif zobanoon main kiya koee qadar

mushtarek hoti hai?

Ji haan, maslan:

Page 6: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

a- Bohat sari aawazain mushtarek hoti hain

b- Zarab-ul-Amsaal aur mohavray mushtarek hotay

hain

c- Marakab aavazain eak si milti hain

d- Eak dosray kay alfaz laiti hain ya yoon keh lain

bohat say alfaz mushtarek hain jis tara Urdu main

tumbakoo Punjabi main tamakoo japani main

tabakoo is hawala say u ’ge t isalai di ja sakti hain

8- zoban main vosat kin aanasar say hoti hai?

o takhliqi azhaan

o zaroratoon ka bhar jana

o Azhaar ki aazadi

o Taghaeraat

o Samaji moaashi aur masharti tabdiliaan

o Aazmaesh ki surat-e-haal

Page 7: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

o Inqalaab

o Pareshani, baicheni aur iztarabi kafiyaat

o dukh aur karab

o Agar qomoon main khud say zinda rehnay

ka sha’oo au ada ho to oh motaharak

rehti hain

simabi firat

Kuch kar gozrnay ka janoon aur jazba

moqablay ki aadat/jazba

harkat masalsal harkat

malghobiat ka shidat say ehsaas

jis ta a afsa ay ai ahdat-e-ta’assa kay bagher afsani, afsani nahain rehta bilkul ossi tara

la hak’paze i kay a’ghe zo a koo ai ka mandak hoti hai.

Page 8: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

9 badaisi, daisi jabkah daisi badaisi ki zoban bolnay

ki koshesh kartay hain. badaisi Hakam ki zoban kis

tara matasar karti hai aur os kay asraat kis qisam

kay moratab hotay hain?

assal moamla rabtay ka hai. Badaisi ki khaesh hoti

hai kah woh baat ko behtar toor par samjha sakay

daisi chahata hai kah ossay os ki zoban main

sa jhaya ja’ay. Woh yah hi hahata hai kah Haka kay ziyada azdeek ho. Is say a’si af alfaz ka tabadal hota hai balkah lehjay bhi tabdeel hotay

hain. Woh apnay apnay nahvi set up kay motabaq

alfaz daitay laitay rehtay hain.

Arbi manay na manay Urdu, Punjabi, pothohari,

Saraeki, Mivati, Sindhi, Barahvi waghera main

hoor,ahwaal, okaat wahad hain. tazkeer-o-tanees

main Pashto apna mazaj rakhti hai aur woh liay gay

alfaz ko apnay lisani set up kay motabaq lay gi.

bilkul issi tara zima ko zoma, qof'li ko qulfi, khalvat

ko khilvat boolna Urdu Punjabi waloon kay liay aeb

nahain.

Page 9: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

Momkinility, voteraan, sportraan, moteraan,

motarain, horain, Urdu Punjabi waghera main kab

ghalt hain. yahhi surat-e-hal maeni ki hai. Dosri

zobanoon main kuch kay kuch ho jatay hain.

Ghareeb bamaeni moflis

Khsam bameni khawand

Rashi bameni rishwat lainay wala

10- kiya Hukaran tabqay ki zoban ghalib rehti hai

ya maqami zoban/zobanain/boliaan bhi baqi rehti

hain?

koee zoban apna vajood tayagnay kay liay teiar

nahain hoti. Koee zoban mar nahain sakti jabtak os

kay doo bolany walay mojood rehtay hain. Haan

albata tabdiliaan aati rehti hain rasam ul khat

badal jatay hain aur yah bura amal nahain.

Amrikan, Bartanvi, Faransisi, Pakistani, Hindustani

angraizi main zameen aasman ka faraq hai. Yahhi

Page 10: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

surathal Arbi Urdu Punjabi waghera ki hai.

Hamaray haan baray dafatar main angraizi ka raj

hai laikin bahar gali main issay koee pochta tak

ahai is kay a ajood a’da ista too pa ool chaal main angraizi alfaz aa jatay hain. eak door

main yahhi surat Arbi aur Farsi ki thi. Jo alfaz bila

jawaz dakhal kiyay jatay hain ehsas-e-kamtari ka

saboot hotay hain laikin jo juz-e-zoban ho jatay

hain aeb nahain samjay ja saktay masla:

I mean aap wahaan kayoon nahain gay ya I think

hum ko yah done kar laina chahiay.

Yah Urdu set up kay motabaq hain laikin inhain

a hi aza say ahai daika ja’ay ga. A yah ju lay dekheay:

Hamaray haan ki laydiaan aasman ki horoon say

kisi tara kam nahain hain.

(laydiaan, horoon)

Tamamam omeedwaran apnay apnay sportran kay

sath polling station kay bahar kharay natijay ka

Page 11: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

intazar kar rahay thay.

(sportran, polling station)

Lari addy par har shehar ko janay wali moterain

khari thein.

(Moterain)

Yah jumlay qataee ajnabi nahain hain aur is qesam

ki guftagu aam toor par sonay ko mil jati hai.

Maeni ko hi dekh lain:

Sexy, animal , saer tamasha, jaluos kab apnay assal

maenoon main istmal hotay hain.

Mukhtasar yah kah zobanain marti ya khatam

nahain hotein, hakam aur mahkoom eak dusray

say mataar hotay hain. yah oon ki rabtay ki

zaroorat aur majbori hoti hai.

11-kisi zoban kay acha ya bura honay kay baray

aap ki kiya a’ay hai?

Koee zoban achi buri nahin, tamaam zobanain

Page 12: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

rabtay ka zariya-o-wasila hain. Urdu kay siwa

tamaam zobanain aawazoon kay hawala say

ka’zoo hai . Is o yaad pa o hai a ha u a nahain kaha ja sakta. Haan izhaar kay hawala say

koee a’ay di ja sakti hai. Ap i ka i au ka’zo i ko marakab aawazoon say woh pura karnay ki

koshesh karti hain.

12- Is jadeed door main matrook ho janay walay

alfaz ki koee ehmeat baqi hai?

Kayoon nahain, woh os ehad ki masharti, moashi,

samaji, nafasyati aur saqafti hawaloon ka warsa

hai. Guzra kal onhein kay hawala say jana aur

pehchana ja sakta hai. Lafz kiya mahavroon ki surat

badal gaee hai aur wo soo tara say istamal main aa

rahay hain. in matrook alfaz, mahavraat main

tabdiliaan aur aslobi tagheraat say zoban ki taraqi

ki rafter ka andaza kiya ja sakta hai. Wo os shakl

main mojood nahain hotay haan albatah tabdilioon

ke satha zoban ka hissa rehtay hain

Page 13: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

Karvat laina, karvat badalna darust samjha jata hai:

maslan

woh hal likh chala hoon karvat badal badal kay

Satyanaas marna, satyanaas karna/hona mostamal

ho giya hain

Kitabi aur bazaar ki zoban mukhtalif hoti hai.

Adakaeyaan ko kitab wala kab adaoon kay

maenoon main tasleem karay ga.

13-kiya boliaan zobanoon kay sath sath chalti rehti

hain?

a- haan sath sath chalti rehti hain

b- matasar karti hain

c- matasar hoti hain

14-kiya boliaan zobanoon ki takhleeq main

moaawan sabat hoti hain?

boolioon say zobanain takhleeq nahain hotein.

Page 14: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

Haan

• taraqi karkay zobanain ban jati/sakti hain

• Zobanoon ki taraqi main moawan sabat

hoti hain.

• zobanoon kay izhaar ko vosat mayasar aati

hai.

Jan kay (Jan bojh kar), mokmakao aisay alfaz Urdu

kay liay ajnabi nahain hain.

Yahhi surat badaisi zobanoon ki hai. Glass

a’ ae i pa i/lassi aghe a pi ay ka pi a a, dafta a ae i offi e, t a’ ae i d, ta asha, jaloos waghera aam istamal kay alfaz hain.

Mahajar apni assal par reh nahain sakta aur Yah

asool-e-firat hai.

Zobanain lafzoon ko apnay mazaj, zarorat, halaat

aur nahvi nazam ke tehhat laiti aur oon ka istamal

karti hain.

Page 15: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

15-zoban main awazoon ki ehmeat kiya hai?

Zobanain hain hi awazoon ka majmoah. Aawaz ki

tabdeli say maeni badal saktatay hain.

Zikar aur zakar kay moenoon ko daikh kar baat

samjh main aa jati hai.

16- In aawazoon ki kitni aqsaam hain?

Urdu main 3 tara ki avazain hain:

a- alap paran

b- maha paran

c- alamti

• dusri zobanoon main marakab aawazain bhi

milti hain. Maslan sheen ko sh waghera say likha

jata hai. Za’ay Fa si ko io say azay kiya jata hai. Issi tara mutbadal/mutradaf aawazoon say bhi

kaam chalaya jata hai. Maslan Arbi Pakistan ko

Bakistan likh parh aur bool saktay hain

kayoon'kah arbi main pay awaz hai hi nahain.

Page 16: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

Miwati sharbat ko sarbat hi istamal karay ga.

Angraizi main دaur ت mojood nahain hain lihaza

motradaf d aur t ko istamal main laya ja'ay ga.

• Japani main dou tara kay sign hain. Hira

gana, Kana kata.

Chini aur Korian ki bhi kuch is say mukhtalif surat

nahain.

• Aa azoo kay akhaz u ’haad au u ’gi t hain.

17- Kiya khita ki tabdili say aawazoon ki noeat

tabdeel ho jati hai?

Ji haan, aalaqa ki tabdili say faraq aata hai.

Mivaat aur Chatoor aur phir Rajistan main sheen ki

aawaz nahain wahaan seen say kaam chalaya jata

hai. Maslan basher say baser

Punjabi walay zuma hi bolain gay halankah zima

bool saktay hain.

Page 17: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

Issi par hi moqoof nahain aawazoon ko wahaan ka

kalchar, nafasyaat, rasam-o-ravaj, mazaj aur

rovaeoon ko apnana parta hai.

18- Awazoon kay zeer-o-bum say alfaz kay

maeni-o-mafaheem main faraq aata hai?

Kayoon nahain, maslan

Roko, mat janay doo

Roko mat, janay doo

Maenoon main zamein aasman ka faraq aa giya

hai.

19-kiya aawazain farad kay andar ki aakasi karti

hain?

ji haan.

Boolnay kay andaz say shakhas ka batan jan liya

jata hai.

Page 18: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

20- Aawazoon ko samajhnay aur haqiqat tak

rasaee kay liay kin lowazmaat ki zaroorat hotai

hai?

Aawazoon ko samjhnay kay liay hissi nazaam ka

fa’aal au kisi o s say pak ho a ai’haad za o i hota hai. Dosra tajarba aur mashaeda bari ehmeat

kay hamal hotay hain.

21-aawazoon kay hawala say aap nay kis noeat ka

kaam kiya hai?

Zobanoon ki awazain

Taqabli aur ishtaraki motalalah

Zobanoon ka bahmi ishtarak aur sanjain

22- Aawazoon par kaam kartay waqt kisi qisam ki

dushwari paiash atti hai?

Mehnat karna pari hai warna koee mushkal paish

nahain aee.

Page 19: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

Bazaar main, mukhtalif tabqoon say bohat kuch mil

jata hai, bas ghoor karnay ki zarorat hoti hai.

23- Aawazoon say koon sa ilm mayasar aata hai?

• Insan ka batan

• Lafz ki nafasyaat

• Lafz ka kalchar

• Kaenaat say reshta aur os say motalqaat

say aaghi

24-zobanoon kay khandanoon kay hawala say kiya

kehtay hain?

Mein is nazriay ko tasleem nahain karta. Aawazoon

kay makhaz kahein bhi alag say nahain. Tahum

traces wahaan kay mahool, halaat, zarorat,

aalaat-e-nutaq aur moaawan aalaat-e-nutaq kay

zeer-e-assar tarqeeb patay hain aur yah fitrat ka

Page 20: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

teh kiya giya asool hai.

Sun Jun 24, 2007 12:12 pm

_________________

Shazia

Global Moderator

Ashi Batein Bataney Ka shuriya, very nice posting.

Sun Aug 26, 2007 5:15 am

_________________

Dr Maqsood Hasni

Senior Proud Pakistani

punjab

is mohabat aur lutaf-o-ata k liay

Page 21: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

mumnoon-e-ehsan hoon.

Allah aap ko kuh rakhy.

Sun Aug 26, 2007 7:56 pm

_________________

Read more:

http://www.forumpakistan.com/lisanyaat-say-motalaq-kuch-sawal-ja

wab-t944.html#ixzz4GLM4tHOu

lisanyaat say motalaq

kuch

sawal jawab

By

Maqsood Hasni

Page 22: lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab

Abuzar Barqi Kutab'khana

July 2016

lisanyaat bara ahum aur hisas subject hai is par

kam hi likha parha jata hai. Ahbab ki dilchaspi kay

liay main nay sawalan jawaban is mozoo ko chera

hai kayoon'kah is hawala say bhi aaghi rehni

chahiay.