Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

Embed Size (px)

Citation preview

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    1/29

    Be-Ism-e-AllahAli ibn-e-Abi Taliib [a.s] ke zariye se)Fee zamana yeh dekhney mey aaraha hai ke, Baaz

    momineen ke darmiyan mouzu-e-bahes bana huwa hai ke goyatashahood mey wilayet aur hujjaton ki gavahi dena chahiye ya

    nahi? Har shaks apney apney mutaliye ke mutabiq is per dalayelde raha hai, yeh tho aam momineen ki baat hai, laikin afsos isbaat ka hai ke baaz muddayan-e-ilm wa zakireen kuch mimberke zariye aur kuch neeji nishiston ke zariye aur kuch internetmedia ke zariye yeh kehtey paye jaa rahey hain ke (mazallah)tashahood mey wilayet ki gavahi se namaz batil ho jati hai, aurtho aur yeh kaha ja raha hai ke thisri gavahi ka masla shiyatmey aiqtelaaf paida karney ki gharaz se Davedaraan-e-Akhbariyat ki janib se uthaya gaya hai, yay eh kaha jar aha haike Pakistan ke chand zakireen ki janib se yeh masla uthayagaya hai, ya phir shahadat-e-salasa ki tayeed karney walon ko

    America ke agent kaha jaa raha hai, logon ka aisa kehney kemaqsad unki la-ilmi hai, ya phir koi aur sabab yeh ainullahbehtar jantey hain. Al muqtarsar yeh ke yeh tashahood meyaliyan waliullah ki baat ko chedey 25 ya 30 saal se zyada nahihuwa. Halankey dekhney mey yeh bhi aya hai ke bahot sareyzakireen, apney taur per tayeed bhi kar rahey hain, baazmimber ke zariye se aur baaz neeji nishiston mey, aur yehnalain-bardar-e-ahl-e-wila, apney biradaraan-e-hubdaran-e-Ali (a.s) ki khidmat mey banners ke zariye se aur booklets kezariye se, mukammil hawalon ke saath shiyat ki motaber kitabonse isey pesh karney ke sharaf se Musharraf hota raha. Chand

    moazziz hazraat ke hukum per aik baar phir Roman-Englishmey iska zikre karney ki koshish kar raha hoon, Sarkar-e-Zamana (ajtfj) ki bargah mey hajat mand hoon ke mey sirf-o-sirf haq hi pesh karoon, meri zimmedari, ismey diye gayehawalon ki hadd tak hai, padney waley hidayet ki bheek khudhadi-uz-Zaman (ajtfj) se maanglen.

    Mey hargiz bhi is layeq nahi ke kisi alim ya kisi zakir pertanqeed karoon, bahot mumkin hai ke yeh baten unki nazar senahi guzri hon, mey tho apney bhaiyon ki tawajjo in hawalon perkaraney ki koshish kar raha hoon. Aik aam Kuliya (fundament)

    hai ke Kisi bhi cheez ka jawaz daleel ka mohtaaj nahi hota,balkey hurmat daleel ::02::ki mohtaaj hoti hai is khanoon ke zail mey mey Daleel banata

    1

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    2/29

    hoon Masoom ke qoul ko jisey manla Yazarul Faqeeh ki pehlijild ke safa No.178 per Hadees No.937 (urdu) mey darj kiyagaya, Jab sayil ne Imam (a.s) se sawal kiya ke kya wo apninamaz mey ba-zaban-e-farsi kuch dua maang sakta hai? is perimam (a.s) ka jawab har shey azaad hai jab tak ke iski mana

    varid na huwi ho tho ab mera mataleba un biradaaraan-e-shiyat se hai ke wo aik hadees, Kutubul arbah se ya phir kisi bhimotabar shiyat ki kitab se den jahan tashahood mey Aliyanwaliullah ki mana varid huwi ho. Ya phir koi ayet is baat kezail mey ke thouheed wa risalat ki gavahi ke baad wilayet kigavahi batil amre hai (mazallah) pesh Karen, mumkin hai ke humse agar koi khata ho rahi ho tho humari islah ho jayegi.Imam-e-Mohammed-e-Baqer a.s) se tashahood kesilsiley mey shahadat-e-salasa ke mutaliq in shiyat ki motabarkitabon mey tayeed darj hai.

    Marhoom Yaqoob-e-Kulaini (r.a) ki kitab Al furu minal-kafi jild # 2, ke kitab us salath mey, Safa # 101,baab # 29 Hadees # 1 (urdu) (Arabi) Jild # 3, Safa #338, Kitab us salaath Hadees # 1 imam (a.s) se Bakerbin habeeb ahamsi (r.a) ne poocha Tashahood mey kyapadna chahiye? Is per Imam (a.s) ne kaha Padho (wojumla) jisko sab se acha jantey ho, kyun ke agar(tashahood izafey ke lehaaz se) muqarrar hota tho loghalak ho jatey ( davat-e-fikre kya aaj wo daur hai kealiyan waliullah tashahood mey kehney ke sabab kisi kohalak kiya jata hai? Jab ke yehi gavahi loudspeakers kezariye azan mey kahi ja rahi hai )

    Sheikh ut-taif Toosi (a.r) ne Tehzeeb-al-ahkaam(kutubul arbah mey se aik kitab) jiski taleef 460 hijriyaney khareeb 1000 baras qable ki gayi hai,, ke jild #2,ke Baab kaifiyat us salath ke safa # 102 per iseydarj kiya hai.

    Mohammed bin Hasan Hurr-e-Amli (r.a) jinkainteqaal1104 Hijri mey huwa, apni taleef karda kitabWasailush shiya al tehseel masahel al-shariya ke jild

    # 4, ke Baab-e- ::03::tashahood, mey Safa # 993 per Hadees # 1 per iseydarj kiya hai.

    2

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    3/29

    Mirza Hussain-al-Noori Mustadarakul Wasayel waMustanbath al-masayel ki jild # 5 ke safa # 11 perHadees # 1 mey isey darj kiya hai.

    Imam-e-jaffer-e-sadeq a.s) se tashahood ke silsiley meyshahadat-e-salasa ke mutaliq in shiyat ki motabar kitabonmey tayeed darj hai. 381 Hijri mey inteqaal karney waley Sheikh-e-

    sadooq apni taleef karda kitab Man la YazarulFaqeeh ke jild # 1. Safa # 493, Hadees # 1415(Arabi) aur (Urdu) ki Jild # 1, Safa # 178, Hadees# 938 per Halabi se rivayet darj kiye hain,unhoney Imam (a.s) se poocha kya humey ijazathai ke hum aap aimma (a.s) ka naam apni namaz

    mey le saktey hain? jawab mey Imam (a.s) nebus aik lafz kaha Ajmalahum jiska tarjumaseedha seedha hota hai jamal se jamal ke 2mainey hain, aik Qoobsoorat aik Jamey tho abiska tarjuma hoga ya tho Qoobsurti ke saathaimma (a.s) ka naam namaz mey lo (with abeautiful way the names of Aimma (a.s) to berecited) ya phir Jamey taur per aimma (a.s) kenaam lo ( in a compact way names of aimma (a.s)has to be recited Agar mana jaye ke imam (a.s)ne qoobsurat wala jamal se ajmal kaha hai thoaimma (a.s) ke asma ko unkey alqaab ke zariye seqoobsurti se zikre Karen ya agar yeh mana jaye keimam (a.s) ne Jamey taur per kaha hai tho phirAbu Aimma (a.s) ki wilayet ki gavahi unkey naamke saath kam az kam dey. Is hadees ki tashreeAllama Taqi Majlisi jinhey majilisi-e-awwal bhikaha jata hai Manla yazarul faqeeh ki tashreeper aik kitab likhi hai jiska naam rauzatul::04::mutaqqeen-shara-e-manla yazarul faqeeh kenaam se jo naishapur, Iran se shaye huwi, us kitabki Jild # 2, ke Safa # 349 likhtey hain Imam (a.s)ne farmaya hai ke namaz mey aimma (a.s) keawsaaf-e-jameela ka zikre karo Urdu tarjumawali kitab mey mutarjim ne apni rai is tarha se

    3

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    4/29

    shamil ki jaisa aal-e-mohameed laikin halabi(r.a) ke sawal ko agar ghour Karen tho wahan saafsaaf Aimma (a.s) ke naam ke mutaliq sawal hai,Asmayee al Aimmah a.s) fi salah na kea al-e-mohammed (a.s) ke mutaliq. Mutarjim ki rai ke

    sabab shayed bahot sarey log yeh manney lageykea al-e-mohammed ka zikre Salwath mey johota hai is se yehi murad hoga, laikin mujhey yehbaat isi liye samajh mey nahi aati kyun ke sawalasma-el-aimma ke mutaliq hai na ke asma-al-aal-e-mohammed, aur dusrey yeh ke kya us waqt kinamazen baghair-e-durood huwa karti thi? Agarba-durood huwa karti thi jo ke thareeq se, quranse aur ahadees se sabit hai tho phir yeh sawaldurood ke mutaliq nahi tha, aur agar durood hi kemutaliq tha tho Imam (a.s) ka jawab mumkin hai

    hota ke tum jo durood bhej rahey ho wo kafi haiIs baat per baaz hazrat ka yeh bhi kehna hai keagar yeh gavahi dena hai tho phir pehley se kyunnahi di ja rahi hai? Unhey apney sawal ka jawabmil jayega agar wo Imam-e-Mohammed-e-Baqer(a.s) ke qoul ko ghour Karen jisey uper pesh kiyagaya hai ke Janey halak ho jatin wo log is baatper ager thodi fikre karlen ke azaan mey shiamasajid se is gavahi ko kab se ba-awaz-e-balandkeh rahey hain tho mumkin hai ke unhey samajhmey ajayega? Hyderabad Deccan ki thareeq-e-

    aghaaz ko Masjid-e-asna ashari mey dekh ja saktahai, us se pehley azaan mey bhi yeh gavahi deneyke liye halaath saazgar nahi they, tho ba-awaz-e-baland nahi diya gaya laikin na sirf mera balkeyaap tamam ka bhi aqeeda::05::yehi hoga ke wo gavahi tark nahi kartey theybalkey ahista se kehletey they, mumkin hai keyehi sabab raha hoga ke jab azaan mey is gavahiko ba-awaaz-e-baland kaha gaya ya phir loud-

    speakers ke zariye kaha gaya tho log aiteraaz nahikiye hongey ke yeh izafa kyun kar rahey hainbalkey shukr-e-quda baja laye hongey ke ab halataisey nahi ke is gavahi per humey halak kardiyajayega. Aur mumkin hai ke yehi sabab hoga ke

    4

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    5/29

    kitabon mey Aliyan waliullah ko juzv-e-azan,taqayyatan nahi bataye janey ke bawajood isgavahi ko sabhi shia masajid mey fauri baad risalatki gavahi ke diya jata hai aur sabhi is se razi bhihain. Baaz momineen ka yeh bhi sawal tha ke agr

    is gavahi ko dena hai tho phir hamarey aba waajdaad jinhoney yeh gavahi apney tashahood meynahi di kya unki namazey ghalat hain? Meraaqeeda hai ke hargiz nahi, kyun ke munkir kafirhota hai na ke tarik (tark karney wala), aur wotamam marhumeen halat ke tahed ya phir la-ilmike tahed isey tark kiya na ke is gavahi ke munkirthey.

    Yehi hadees shiyat ke deegar kitabon mey bhi darjhai inshallah agey isey pesh kiya jayega.

    Ab mey koshish karta hoon ke jahan is baat ka zikrekiya gaya hai, un safaat ko scan copy yahan kardoon takeypadney waley ko mazeed taqwiyat hasil ho jaye.Houzatul-Ilmiya, Najaf ke bani, Sheikh-ath-thaif-e-

    toosi (a.r) jo ke shiyat ke kutub-e-arba (4 kitabon) mey se2 kitaben, tehzeeb ul ahkaam aur al-ibtesaar kitasneefat aur talifaat ki hain, 400 Hijri mey mey likhi gayiapni kitab misbah ul mutajjidke safa # 32 per tashahoodis tarha likhtey hain.

    ::06::

    Allah ke naam ke saath shuru karta hoon, allah per bharosakarta hoon, tamam tareefey allah ke liye hain aur tamam acheynam allah ke liye hain, mey gavahi deta hoon, ba-tahqeeq allahmera kya acha rab hai, Mohammed sawaws) kya achey rasoolhain, aur Ali a.s) kya hi achey wali hain.

    Hamza bin abdul azeez al-tabari Sistani jinka inteqaal 463hijri mey huwa apni kitab Al-marasim-fi-al-faqeeh al-imamiya ke safa # 72 aur 73 per is tarha rakham taraz hain.

    5

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    6/29

    Raha dusra tashahud ke jiskey peechey salam padha jata hai,tho wo tashahood aisey hai.

    Allah ke naam ke saath shuru karta hoon, allah per bharosakarta hoon, tamam tareefey allah ke liye hain aur tamam acheynam allah ke liye hain, mey gavahi deta hoon, ba-tahqeeq allahmera kya acharab hai, ba-tahqeeq Mohammed sawaws) kya achey rasool hain,aur ba-tahqeeq Ali a.s) kya hi achey wali hain, aye allah duroodbhej mohammed wa aal-e-mohammed a.s) per.

    Mohammed Taqi Majilisi-e-awwal fiqa-e-kamil ke safa# 31 per yeh tashahood darj kiye hain

    ::07::

    Allah ke naam ke saath shuru karta hoon, allah per bharosakarta hoon, tamam tareefey allah ke liye hain aur tamam acheynam allah ke liye hain, mey gavahi deta hoon, ba-tahqeeq allahke alawa koi mabood nahi is haal mey ke wo akeela hai iska koi

    6

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    7/29

    shareek nahi, mey gavahi deta hoon ba-tahqeeq Mohammedsawaws) allah ke abde aur rasool hain, jinko allah ne haq kesaath bheja, is haal mey ke wo basharat deney waley hain aurdaraney waley hain qayamat thak, aur mey gavahi deta hoon keba-tahqeeq allah mera kya acha rab hai, ba-tahqeeq Mohammedsawaws) kya achey rasool hain, aur ba-tahqeeq Ali a.s) kya hiachey wasee hain aur kya hi achey imam hain, aye allah duroodbhej mohammed wa aal-e-mohammed a.s) per aur thu inkishifaat ko apni ummat ke haq mey qubool farma aur inkamartaba baland rakh tamam thareefey allah ke liye hain jo sareyjahano ka rab hai.

    Fiqah-e-Reza (a.s) se Zuboor-e-Aal-e-Yaseen wa Taha kesafa # 8 per yeh tashahood likha hai:

    Allah ke naam ke saath shuru karta hoon, allah per bharosakarta hoon, tamam tareefey allah ke liye hain aur tamam acheynam allah ke liye hain, mey gavahi deta hoon, ba-tahqeeq thukya hi acha rab hai, ba-tahqeeq Mohammed sawaws) kya hiachey rasool hain, aur be-::08::

    shak, Ali a.s) kya hi achey moula wa aqah hain, aur ba-tahqeeqjannat wa dozakh, mouth aur dobara uthayajana haq hai, qayamataney wali hai, aur ba-tehqeeq allah uthayega jo qabron meydafan hain, aye allah durood bhej mohammed wa aal-e-mohammed a.s) per.Is kitab ke mutaliq aaj aiteraaz ho raha hai ke yeh kitab

    musaddeqa nahi, laikin beshumar ollema-e-shiyat is kitab kehawaley apni kitabon mey diye hain.

    Lijiye pesh-e-nazar hai shiyat ki un chand motabarkitabon ke scan copies jahan shahadat-e-salasa ka zikre 300hijri se hota aa raha hai, aur jo daleel hai is baat ki ke yehmasla koi jadeed uchala gaya ya kisi aik shaks-e-maqsoos ki

    7

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    8/29

    janib se ya kisi aik mulk ke ollema ya zikieen ki janib se ya phirAmrica ke agents ki janib se nahi balkey shiyat ki kitabon meyghaibet-e-sughra ke daur se aur bahot mumkin hai ke Aimma(a.s) ke daur mey taleef ki gayi kitabon mey bhi iska zikremoujood hai.

    Aur agar America paisa kharch kar raha hai ke namazonmey Aliyan waliullah ki gavahi di jaye, tho quda ki khasam woIsayee mulk mujhey us mulk se kaheen zyada azeez hai jahanba-aiqtiya honey ke bawajood Aliyan waliullah ko chupaya jatahai, Dushmanaan wa Qatilaan-e-Ahl-e-bait (a.s) ko manneywalon se ithehaad ki gharaz se tabarrah se roka jaata ho.

    ::09::

    8

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    9/29

    ::10::

    9

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    10/29

    ::11::

    10

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    11/29

    ::12::

    11

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    12/29

    ::13::

    12

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    13/29

    ::14::

    13

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    14/29

    ::15::

    14

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    15/29

    ::16::

    15

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    16/29

    16

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    17/29

    ::17::

    17

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    18/29

    ::18::

    18

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    19/29

    ::19::19

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    20/29

    ::20::20

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    21/29

    ::21::

    21

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    22/29

    22

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    23/29

    ::22::

    ::23::23

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    24/29

    Ab kuch ayeten quran-e-majeed se dekhtey hain aur isper tadabbur wa tafakkur karengey jiski davath qud allah ne dihai, Quran ki tafseer bil rai karna haram hai kyun ke iski

    mumaniyat hai, aur jis baat ki davath di gayi usey tark karna bhiharam hi hoga. Waisey kayee moqamat per allah ne ismey ghouraur fikre karney ki davat di hai laikin yahan mey sura-e-mohammed ki ayet # 24 ko bataur-e-hawala pesh karney kisadat hasil kar raha hoon. Afala yatadabbaroona alqurana amAAala quloobin aqfaluha Kyun log quran mey ghour nahikartey? Kya unkey dilon per taley lagey hain?Is ayet se pata chalta hai ke Quran mey ghour-o-fikre karnaibadat hai. Humey yeh dekhna hoga ke ismey fikre kis tarhaKaren jo ke ibadat hai aur kis tarha tafseer bil rai se bacheyjo ke haram hai. Quran ki har ayet yay un kahoon ke har hurf

    ka zahir bhi hai aur batin bhi, Ayet ke batin ke mutaliq kuch taikarna yeh hoga tafseer bil rai, laikin uskey zahiri mana perghour karna hum sab ka fareeza hai.

    Sab se pehley mey sura-e-baqra ki ayeth # 114 peshkarta hoon isey ghour karengey: Waman athlamu mimmanmanaAAa masajida Allahi an yuthkara feeha ismuhu wasaAAafee kharabiha olaika ma kana lahum an yadkhulooha illakhaifeena lahum fee alddunya khizyun walahum fee alakhiratiAAathabun AAatheemunUs ke alawa aur koun sab se bada zalim ho sakta hai? Jo Allahki masjid mey allah ke ism ke zikre se rokey, aur isey masjid)ko weeran karney mey lagey rahey, aisa karney walon ke liyemasjid mey)dakhela hi mamnoon hai, aur aisey hi logon ke liyeduniya mey ruswayee, aur aqerath mey bada saqt tareen azaabhaiKya kainaat ki kisi bhi masjid mey Allah ka naam liye janey seroka ja raha hai? Jahan tak mujhey ilm hai aisa nahi ho raha,laikin haan Allah ke ism yaney ke Ali ibn-e-abi talib (a.s) kezikre se zaroor roka ja raha hai, Aur beshumar ahadees aurtafaseer se zahir hai ke 14 masumeen (a.s) Allah ke asma ul

    husna hain. Ism ka plural asma hai.

    ::24::Asma ul husna per Sura-e-Aaraf ki ayet # 180 ko pesh karta

    24

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    25/29

    hoon jahan kaha gaya hai: Walillahi alasmao alhusnafaodAAoohu biha watharoo allatheena yulhidoona fee asmaihisayujzawna ma kanoo yaAAmaloona Aur achey achey tamam naam Allah hi ke hain, aur jo log uskeyachey namo ko nahi mantey hain, wo bahot jald apney kartoothki saza payengey Is ayet per ghour karney se yeh andaza hotahai ke allah ke ism ya asma hain jinkey zariye se hi useypukarna chahiye aur baaz log hain jo in asma ka inkar karteyhain yaney unhey waisa nahi mantey jaisa ke manney ka haqhai, warna tho 73 firqon mey koi nahi jo allah ke namo ka inkarkarta ho, balkey yeh zaroor milta hai ke Masumeen (a.s) koasma ullah hi husna sabh nahi mantey, jinhey bahot jald uskisaza bhi milegi (inshallah wa ali ibn-e-abi talib [a.s]) Ab yeh taiho gaya ke Allah ka zikre alaheda hai aur Allah ke ism ka zikrealag baat hai, aur Quran ne usey Sab se bada Zalim kaha hai jo

    Allah ke ism ke zikre se rokey. Is baat ko aur bhi zyada qulasa /clarify karney ke liye mey Rasoolallah (sawaws) ki mashoorhadees ka zikre karna chahunga apni majalison ko Ali ibn-e-abi talib a.s) ke zikre se zeenat do, ke iska zikre mera zikre hai,mera zikre allah ka zikre hai aur allah ka zikre karna ibadat haitho pata chala ke wohi zikre allah ka kehlayega jo ali (a.s) kazikre hoga.

    Ab aik aur ayet pesh karna chahunga jahan Gavahiyon kemutaliq bayan huwa hai, Sura-e-Maarrij ki 33, 34 & 35vi ayet:Wallatheena hum bishahadaatihim qamoon-Wallatheena humAAala salatihimyuhafithoon-Olaika fee jannatin mukramoonAur wo log jo apni (2 se zyada) gavahiyon per qayem hain-Wolog jinki namazon ka tahafuz hota hai-yehi wo log hai jo jannatmey mukarram hongey

    Duniya ki tamam languages mey aik singular (wahed) aur aikplural (jama) hota hai laikin arabi wo azeem zaban hai jismeysingular, twince aur plural hota hai, aik ke liye wahed ka segha,2 ke liye

    ::25::tasniya ka segha aur 2 se zyada ke liye plural (jama) ka seghaistemal hota hai. Iski kuch misaley deney ki koshish kartahoon:

    25

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    26/29

    1 adad ke liye,Singular ke liye 2 adad ke liye twinceke liye 2 se zyada ke liyejama/plural ke liyeMashriq Mashraqain MashariqMaghrib Maghrabain MagharibHasna Hasnain Hasanath

    Kalma Kalmatain KalimaathShahadet Shahadatain shahadaathAb dekhiye ke ayet mey kounsa segha istemaal huwa hai Apney dekha hoga ke ayet mey jama/2+ka segha istemaal huwahai kyun ke Daal letter per zabar hai aur phir uskey baadAleef letter bhi hai jo Shahadaath ke liye hota hai. Baazhazraat yeh keh kar unsey poochney walon ko tasalli detey hainke yahan aam gavahiyon ke mutaliq allah hokum de raha hai.Unhey chahiye ke ayet mey bayan huwey lafz Qayemoon perthoda sa ghour karley, awwal tho yeh ke agar yeh kisi waqayeki gavahi ke mutaliq hokum hota ke tumney jo dekha wo gavahido tho lafz-e-qayemoon nahi ata, aur segha wahed ka istemaalhota, Jam aka nahi, Aur rahee baat ke aam insaan is baat kaqayel rakhta hai ke kisi mouzu per baat kartey waqt dusreymouzu ko shamil na kiya jaye, maslan agar koi kahey aam keachar mey mirchi aur khataas hona chahiye, aisa bichona achahota hai tho log usey pagal kahengey ke achar se bichoney ka

    kya taluq? Aam bashar ke liye jo baat mayoob ho, aisa amalallah ke liye mansoob karna kahan ka insaaf hai? 33vi ayet meybayan ho raha hai ke aur wo log jo apni 2 se zyada gavahiyonper qayem hai agar yeh aam waqayat ke gavahi ke liye hai thophir 34vi ayet mey yeh bayan hona ke aur unki namazon katahafuz hota hai aur 35vi ayet mey bayan hona ke yehi wo loghain jo jannat mey mukarram hongey ko::26::Kahan se tasalsul hai? Ab mera aik sawal hai ke namazon katahafuz kaisey kiya jata hai? 34vi ayet jo bayan huwa hai?

    Lijiye Ayoon-e-Akhbar-e-Reza (a.s) ki dusri jild ke safa No.84& 85 se Hadees No.45 & 46 pesh kar raha hoon jo mumkin haike meri baat ko mazeed wazey karengi. Imam-e-Raza (a.s) kairshaad hai Jab qayamat ka din hoga aur bandey pesh kiyejayengey, tho sab se pehley us-sey namaz ke mutaliq poocha

    26

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    27/29

    jayega, agar wo mukammil namaz lekar aya hoga, tho behtarwarna usey dozakh mey dal diya jayega. & Tum apni namazeybarbad na karo, jisney apni namaz ko zaye kiya, tho wo kharoonaur hamaan ke saath mashoor hoga, aur allah per haq hoga keaisey munafeqeen ke saath dozakh mey dal dey, lehaza halakathai uskey liye jo apni namaz ki hifazat na karey aur apney nabiki sunnat ko ada na kareyIn dono ahadees se zahir hai ke koithareeqa hai jiske zariye se namazon ka tahafuz hota hai,mujhey yeh tareeqa sura-e-marrij ki 33vi ayet mey dikhayidiya jiskey fauri baad 34vi ayet mey bayan huwa ke aur jinkinamazon ka tahafuz hota hai warna tho namaz 73 firqey padrahey hain. Aur agar sirf 2 gavahiyon se namazon ka tahafuzhota hai tho phir ahadees mey iski hifazat ka zikre kyun ata?

    Ab aik aur ayet sura-e-baqra se pesh kar raha hoon,Sura-e-Baqra Ayet # 140 .waman athlamu mimman katamashahadatanAAindahu mina Allahi wama Allahu bighafilinAAammataAAmaloon..Aur uskey alawa koun sab se bada zalim hoga, jo us aikgavahi ko chupata hai, jo allah ki janib se nazil huwi hai aur jokuch tum kar rahey ho allah is se ghafil nahi hai Ayet mey aikgavahi ke chupaye janey ka zikre ho raha hai, yeh nahi kahajar aha hai ke jo us gavahi ka inkar karey wo sab se bada zalimbalkey bayan ho raha hai ke jo us aik gavahi ko chupey wo sabse bada zalim. Chupa wohi sakta hai jiskey paas moujood ho,wo kya khaak chupayega jiskey paas wo hai hi nahi? Lehaza isayet mey unkey mutaliq zikre nahi hai jo Aliyan waliullah kigavahi ka inkar kartey hain, balkey unkey mutaliq zikre hai jo

    Aliyan waliullah ki gavahi rakhtey tho hain laikin isey kisimoqam per chupatey hain. Aam taur se Aliyan waliullah kigavahi ya tho kalmey mey di jati hai, ya Azaan mey, ya Aqamathmey ::27::Ya phir Tashahood mey. Is baat se sabhi mutaffiq lagtey hainke Aliyan waliullah ki gavahi Kalmey mey dena chahiye, aurshia masajidon se baland honey wali azaano mey bhi AliyanWaliullah ki gavahi, alhamdolillah sunayee deti hai, aur Aqamathmey bhi isey nahi chupaya ja raha hai, Phir isey kahan chuapaya

    ja raha hoga is per ghour kiya jaye.

    Meri akhri dawat-e-fikre us kitab se hai jiskey mutaliqyeh baat aam hai ke isey Sarkar (ajtfj) ne iskey Muallif jiskipaidayesh qud Sarkar (ajtfj) ki dua ke sabab huwi, ko hokum

    27

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    28/29

    dekar likhwayi, Sheikh-e-Sadooq (a.r) ki taleef karda kitabIkmaluddin akmalto neimahki Pehli jild ke safa No.278, Baab24, Hadees No.3, Hadees-e-qudsi ke alfaaz gavahiyon kemutaliq yun darj hai Jo yeh gavahi na dey ke mey wahed-o-la-shareek hoon, ya yeh gavah tho dey aur yeh gavahi na dey keMohammed sawaws) mera abd aur rasool hai, ya yeh gavahi thodey aur yeh gavahi na dey ke Ali a.s) mera qalifa hai, ya yehgavahi tho dey aur yeh gavahi na dey ke Aulaad-e-Ali a.s) se11 aimma meri hujjat hain, tho goya usney meri nemath ka inkarkiya, meri azmath ko kamtar jana, aur ayaath-o-kutoob ka inkarkiya. Puss agar wo mera aqsadh karega tho mey hijab dal lunga,agar sawal karega tho isey mehroom rakhunga, agar mujheynida dega tho iski awaz na sununga, agar dua karega tho iski duamustajab nahi karunga, agar mujhsey umeed rakhega tho iskiumeed ko khata karunga, yehi meri taraf se iskey liye jaza hai,Aur mey bando per zulm nahi karta

    Ab zara is baat per ghour Karen kya hum kaheen 2gavahiya dekar baqi ki gavahiyon ko chor tho nahi rahey hain?Kya wo namaz ya dua mustajaab hogi jismey sirf 2 gavahiyadee ja rahi hain?

    Akhir mey yeh nalain-bardar-e-Ahl-e-wila bargah-e-Sarkar (ajtfj) mey dua goh hai ke wo hum tamam shiyon/ahl-e-wila, hubdar aur mohibbon ko thoufeeq ata karey ke hum-tamam hamesha hamesha Kitaballah wa Ithrat (a.s) semutamassik rahey. Ilahi ameen ya Rubul alameen Ba tufail-e-

    Masumeen (a.s).

    Taweelath-e-namaz per aik taweel rivayet jisey Jabiribne-Abdullah-e-ansari asnaad ke tasalsul ke saath rivayetkartey hain ke mein apney Maula Ameer al Momineen(a.s) ke saath tha jab Aap (a.s) ne aik shaks ko namazpadta huwa paya aur us se sawal kiya ke "Kya tum

    namaz ki taweelath se waqif ho?" is per wo shakskehney laga 'Oh merey maula (a.s) kya taweelat-e-namaztareeqa-e-namaz mey shamil nahi?" sayil ke sawal perMaula (a.s) ne taweelat-e-namaz ki tashree ki aur har

    28

  • 8/12/2019 Shahadat Dar Tashahud by Mirza Tabarayi (fb)

    29/29

    rukun ke alag alag se tashree ki jab aap (a.s) tashahud ki

    taweel pesh karney lagey tho kaha " " iman ki tajdeed aur islam kobahal karna tashahood ki taweel hai. Aur jab tamamarkaan-e-namaz ke taweelath Maula (a.s) pesh karchukey tho aqir mey kaha " : . Aur kehney lagey ke"agar tum taweelath-e-namaz se na-waqif ho tho tumharinamaz ghair-e-mukammil aur naqis hai. (Bihar ul anwarVol.81 page No.253 & 254)

    Jis kisi ka imaan "Aliyan Waliullah" per hai woh zaroor

    apney tashahud mey is gavahi ki tajdeed karega.

    29